*Jab Ek Shakhs Ne Hazrat Imam Zain ul-Abidin Se Siddiq e Akbar Ke Bare Me Pucha To?*
Hazrat Imam *Ibn e Hajar* Makki رحمة الله عليه Likhte Hain
_Hazrat Imam *Jafar Sadiq* رضي الله عنه Apne Walid Hazrat Sayyidina *Imam Baqar* رضي الله عنه Se Bayan Kiya Hai Wo Kehte Hai Ki Ek Shakhs Unke Walid_ *Hazrat Imam Zain ul-Abidin رضي الله عنه Ke Paas Aaya Aur Kaha Ki Mujhe Hazrat Abu Bakr رضي الله عنه Ke Muttaliq Kuch Bataye Imam Zain ul-Abidin Ne Farmaya Hazrat Al-Siddiq رضي الله عنه Ke Bare Me Bata'on? Tu Usne Kaha Ha Par Aap Unko Siddiq Kehte Ho Imam Ne Farmaya Teri Maa Tujh Ko Zalih Karde Nabi Kareem ﷺ Aur Muhajireen (Sahaba) Aur Ansaar (Sahaba) Ne Unka Naam Siddiq Rakha Hai Aur Jo Unko Siddiq Na Kahe Allah Duniya o Akhirat Me Uski Baat Ko Sacha Na Kare Yahan Se Chale Jao Aur Hazrat Abu Bakr Siddiq Aur Hazrat Umar e Farooq Se Muhabbat Rakho*
Subhan'Allah
Reference Book
*Al Sawaiq Al-Muhriqah* Published *Mua'sasat al-Risalat* Beirut Lebanon
Vol *1* Page *156*
📗📄👇🏻
No comments:
Post a Comment
Don't comment any spam link in comment box