*Sahabi Us Jagah Jakar Dua Karte Yahan Huzoor ﷺ Ke Qadam Mubarak Lage*
Hazrat Imam *Bukhari* Apni Dusri Kitab Me Hadith Code Karte Hain
_Hazrat Abdullah Bin Jabir رضي الله عنه Farmate Hai Rasool Allah ﷺ Ne Is Masjid e Fatah Me Peer (Monday) Mangal (Tuesday) & Buth (Wednesday) 3 Din Tak Dua Farmai Tu Buth Wednesday Ke Din 2 Namazo Ke Darmiyani Waqfay Me Dua Qubool Ho Gai_ *Hazrat Jabir Bin Abdullah رضي الله عنه Ne Farmaya Ki Jab Bhi Mujhe Koi Mushkil Ya Koi Preshani Pesh Aati Tu Mene Usi Waqt Ka Intezar Kiya Aur Phir Mene Usi Waqt Me Buth Ke Din 2 Namazo Ke Hi Dauran Dua Ki Waqt Bhi Wahi Rakh'kha Tu Meri Dua'ye Fauran Qubool Ho Gai*
*Discussion*
_Yani Sahaba Dua'ye Karne Wahan Jate Aur Us Jagah Ki Barkat Se Apni Mushkil Preshani Dor Karte Thay Jahan Jis Jagah Jis Masjid Me Huzoor ﷺ Ke Qadam Mubarak Lage The To Sahaba-e-Karaam Us Jagah Se Us Din Se Aur Us Waqt Ko Barkat Wala Mante Thay_
Reference Book
*Al Adab al-Mufrad* (English)
Vol *1* Hadees *704*
📗📄👇🏻
No comments:
Post a Comment
Don't comment any spam link in comment box