_Hazrat Imam *Ibn e Hajar Asqalani* Al Mutawaffah *852* Hijri Likhte Hain_
*650* _Hijri Me Mangolo Ke Kuch Chief Afrad Ek Martaba Baithe Thay Waha Christian (Isai) Padriyon Ki Ek Jamat Aai Aur Un Padriyon Ne Jab Waha Apni Tabligh Shuro Ki Tu Un Mese_ *Ek Padri Utha Aur Rasool Allah ﷺ Ki Shan Me Gustakhi Karne Laga Aur Wahan Par Ek Shikari Kutta Bandha Hua Tha Jab Us Padri Ne Gustakhi Ki Tu Us Kutte Ne Us Padri Ke Muhh Par Apne Panjo Se Hamla Karke Us Padri Ka Muhh Noch Diya To Logo Ne Us Kutte Ko Pakda Phir Ek Shakhs Utha Aur Bola Ye Jo Tune Muhammad ﷺ Ki Shan Me Bakwas Ki Hai Is Wajah Se Kutte Ne Tujhe Par Hamla Kiya Padri Bola Nahi Ye Kutta Shikari Tha Mene Ishara Kiya To Wo Samjha Ye Mujhe Marega To Wo Mere Ishare Ki Wajah Se Hamla Aawar Hua Phir Wo Padri Dubara Huzoor ﷺ Ki Shan Me Gustakhi Karne Laga To Wo Kutta Dubara Us Padri Par Jhapta Aur Hamla Kar Diya Aur Us Padri Ki Gardan Ko Apne Muh Se Daba Kar Usme Apne Dat* (Teeth) *Ghada Diye Aur Jab Tak Wo Gustakh Padri Mar Nahi Gaya Jab Tak Us Kutte Ne Us Padri Ko Nahi Chhoda Uske Baad Jab Us Kutte Ne Us Padri Ko Mar Diya To Ye Dekh Kar Wahan Par 40 Hazar Mangolo Ne Rasool Allah ﷺ Ki Shan-o-Azmat Ko Mankar Kalma Padhkar Musalman Ho Gaye*
Reference Book
*Ad-Durar al-Kamena* [Publisher: *Dar al-Kotob al-Ilmiyyah* Bayrūt
Vol *2* Raqam *2928*
*Scan Page*
No comments:
Post a Comment
Don't comment any spam link in comment box