Kya Har Kisi Ke Piche Namaz Padhna Jaiz hai??
.
Must Read Full Post And Caption And Share And Save Your Imaan From Evils And Evils Sons,
.
Allama Kaukab Noorani Sahab Qibla ki Kitaab Masla-e-Imamat,
Muqtadi Aur Imam ka Aqeeda ek ho, Imamat ki (6) Che Sharte hai, Unme se Ek Shart ye hai ke Muqtadi aur Imam ka Aqeeda ek ho, Agar Dono ke Aqeedo me Fark hai, To Namaz Qaayam hogi Nahi.
.
Mishkat Sharif ki Hadees hai (Mafhum):: Huzoor (ﷺ) ne Ek Shaks ko Dekha, Usne Qible ki Taraf Munh Karke Thuka, Huzoor (ﷺ) ne Dekhliya, Logo ko Bulake Kaha ye Kon hai, Unhone kaha Hamari Masjid me Imam hai, Farmaya Aainda Isko Imaam na banana, Logo ne Kaha Kyu, Farmaya, Isne Qible Ki Simt (Direction) ki Taazim (Izzat) nahi ki, Lihaza Ye Imamat ke Layek nahi, (Yakinan Wo Sahabi hoge, Huzoor (ﷺ) ke Saamne Jo hai, Unhone Tauba ki hogi, Maafi Mili hogi, Magar Qaanun kya Bangya, Jo Qible ki Simt (Direction) ki Taazim nahi karta, Wo Imamat ke Layk nahi) {Ab Ek Sawal hai:: Qibla Ya Uski Simt (Direction) Afzal hai Ya Hamare Nabi (ﷺ) Afzal hai? Sahih Hadees hai Huzoor (ﷺ) ne Gilafe Ka'aba Thama aur Farmaya, Ae Ka'abe tu Muje Bohat Pyara hai Magar Mujhe Kasam hai Uss Zaat ki Jisne Muje Haq ke Saath Bheja Jiske Qabza-e-Qudrat me Meri Jaan hai Mard-e-Momin ki Izzat Allah ke Nazdik Tujse bhi Zyada hai} Mard-e-Momin ki Izzat Zyada Ka'abe se To Jiska Kalma Padhke Koi Mard-e-Momin Banta hai Us Nabi ki Kitni Izzat To Jo Ka'abe ki Simt ki Taazim nahi Karta Huzoor (ﷺ) ne Farmadiya Isko Imam na Banana To Jo Hamare Nabi (ﷺ) ki Taazim (Izzat) Na kare, Wo Kahi bhi Imam Banjaye wo Imamat ke Layk nahi, Uske Piche Namaz Padhni Nahi, Ab Kahege ke Jaiz hai Ya Dohrale Balke Ye Pucho Ke Badaqeeda ke Piche Namaz Padhne se Gunah Kitna hoga? Uske Piche Namaz padhne se Azaab kitna hoga? kyu? Jab Aap Kahoge Piche Iss Imaam ke To Jo Nabi (ﷺ) ka Gustakh hai Usko Imam Kehna Allah ko Dukh Dena Hai ya Nahi? To Jo Allah Aur Uske Rasool (ﷺ) ko Dukh de Hum Usko Imam Banayege...
No comments:
Post a Comment
Don't comment any spam link in comment box