*🔮Waseela Tawwasul🔮*
📜Hadees 01 - A
🌹Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hai wo bayan karte hai Yahud Huzur e Akram ﷺ k waseele se Kuffar o Mushrikeen par fateh ki dua karte the aur fateh paate the par jab Aaka ﷺ jaahir hue to wo munkir hogye, ek martaba Hazrat Muadh Bin Jabal aur Bashar Bin Barra Bin Maroor (رضى اللّٰه تعالیٰ عنهم) ne Yahudio se kaha Aye yahud Allah عزوجل se daro hum
'Ay Yahood ! ALLAH عزوجل say daro aur Islam lay ao, Jab hum Ahl-e-Shirk thy to tum Naam e Muhammad ﷺ k sath hum par fatah manga karty thy, AAP ﷺ k be'sat aur seerat ko hum par paish karty thy.'
Yeh sun kar Salam bin Mishkam (Yahoodi) nain kaha:
'Yeh wo NABI nahi jis ka zikar hum karty thy aur jo sifaat hum bayan karty thy, wo is main nahi.
Is par ALLAH عزوجل nain yeh ayat utari
📗Surah Baqraah ayat 89
📚Refrence📚
📒[Abu Nu'ym Book : Dalael Un Nubuwwah Vol : 1 Pg : 82 Hadees : 43]
✍🏻Is Hadees se pata chala k jab Ahle Yahood bhi Aaka ﷺ k waseele se kuffar o mushrikeen se fateh paane ki dua karte to ALLAH عزوجل unki duao ko bhi kabool kar liya karte Qurban Jao Musalmano Khatiman Nabiyeen ﷺ par k Allah عزوجل unke waseele se dua kabool kar liya karta hai aur الحمدلله Hum to musalman hai hamari duaye kyu na kabool ho wo to jalwagiri k pehle ka aalam tha to ab bhala ye kaise shirk ho sakta hai ??
🔮Hazrat Aadam عليه السلام ki Dua Huzoor E Kareem ﷺ K Tawwasul Se :
📜Hadees 02:
🌹Hazrat Umar Farooq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se riwayat hai ki Nabi ﷺ ne farmaya,
Jab Aadam عليه السلام se ek khata sarzad ho gayi aur fir unhone ALLAH عزوجل se is tarah dua ki, ''Aye Allah, عزوجل mai Muahammed ﷺ ke waseele se tujhse dua mangta hu, mujhe maaf kar de,''
to Allah عزوجل ne pucha, 'Tumne Muhammed ﷺ ko kaise jaana?' to Hazrat Aadam عليه السلام ne farmaya: Jab tune mujhe banaya tha tab maine apna sar upar ki taraf uthaya to dekha ki Arsh likha tha,
*لا إله إلا الله محمد رسول الله*
'LA ILAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASOOLULLAH' ﷺ
tab mai samajh gaya ki inka maqam bahot Aalaha hai,
warna tumne ye naam apne naam ke sath nahi likha hota,
ALLAH عزوجل ne farmaya:
''Maine tumhe bakhsh diya, aur wo tumhari hi aulado me se mere Akhri Rasool honge, aur maine unhi ke sadqe tumhe paida farmaya hai.''
Dusri Riwayat me hai ki
Jab ALLAH عزوجل ne asman-o-zameen ko paida farmaya to
Arsh ke khambo per, Jannat ke darwazo per, Darakhto ki pattiyo par likha tha ki MUHAMMED ﷺ aakhri Rasool hain,
Ye dono Riwayaten Saheeh hain,
📚References📚
📒[Tabarani Mu'jam Al-Ausat Vol: 06, Pg No. 313-314, Hadees : 6502]
📒[ Al Majmua Fatawa Ibn Taymiyya , Vol. 2, page 150
📒[ Ta'rikh Ibn Kathir , chapter on 'Story of Adam']
📒[Shifa-us-siqam fi ziyarat khayr-il-anam Page No. 120-121]
📒[Imam Bulqini ne apne fatwe me is hadees ko Sahee karar diya. Wahanio k Hafiz Ibn Taymiyya, ke balawa bhi is riwayat ko Dusre Muhaddesin Hafiz Imam Suyuti, al-Bayhaqi aur Tabrani, ne bhi Saheeh sanad ke sath naqal farmaya hai.
*📑Scan Page of Imam Tabrani رحمة الله عليه Mujam AL Ausat*
‼Masla‼
1) Jab Huzoor E Akram ﷺ k waseele se Adam عليه السلام ki dua Allah عزوجل me Makbool hui halanki us wakt to Huzoor ﷺ is dunya me Paida bhi na hue us wakt bhi Sarkar E Do Alam ﷺ ka waseela Allah عزوجل ki bargah me liya jaata tha to aaj bhala ye lena kyukar Nazaiz o shirk hoga ?
2) Hazrat Adam عليه السلام ne Dua me Mustafa ﷺ ka waseela leke ye jahen diya mai Nabi hoke waseela talab kar raha hu to tum to ummati ho tumhe khud kitna waseela lena chahye.
3) Is masle me Shiddat pasand wahabio k maulvi ibne Taimya tak Ahlus Sunnah se muttafik hua hai halanki bahot masle me Ibn Taimya ne iktelaf kiya hai Izma k khilaf par yaha ibn Taimya ne bhi ikraar kiya k ye Hadees sahi hai aur waseela e Mustafa ﷺ bhi haq hai.
4) Jab Wiladat se kabl waseela jaiz tha to abto Kainat me sirf aur sirf Huzoor ﷺ k hi ummati honge Aaka ﷺ ki hi shariyat chalegi to ab kyukar waseela haram shirk hoga ??
Pata Chala Waseela Talab karna Nabi e Karim ﷺ ka khud Ambiya عليه السلام ki sunnat hai.
🔮Huzoor ﷺ ki Hayat E Tayyaba me Waseele Ka Saboot :
📜Hadees 03 :
🌹Hazrat Usman Bin Hunaif رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se riwayat hai,ki ek Naa-beena (Andha ) shaks Nabi ﷺ ki bargah m hazir hua aur bola, 'Aap mere liye dua kijiye ki ALLAH عزوجل mujhe shifa ata farmaye,'
to Aap ﷺ ne farmaya: 'Agar tum sabr karo, to ye tumhare liye zyada behtar hoga, aur agar tum chaho to mai tumhare liye dua karu' To usne kaha 'Aap Dua kijiye,' Aap ﷺ ne farmaya: jao, achhi tarah wuzu karo, aur fir 2 Rakat namaz padho, aur fir is tarah Dua karo,
*"Allahumma lnni as'aluka wa atawajjahu ilaikabimuhamma din nabiyyir-rahma. Ya Muhammadu inni qad tawajjahtu bika ila rabbi fi hajati hadhihi lituqda. Allahumma fashaffi’hu fiya.*
📝Tarjuma: Aye ALLAH! عزوجل mai tujhse sawal karta hu, aur teri taraf rukh karta hu, aur Muahmmed ﷺ Nabi-e-Rehmat ﷺ ke waseele se tujhse dua karta hu, Aye Mohammed ﷺ, Maine apni hajat ke liye apke Waseele se ALLAH عزوجل ki taraf rukh kiya, aye ALLAH! عزوجل Ye Waseela qubul farma'
📚References📚
📒[Tirmidhi As-Sunan, Vol-05, Page-569, Hadith-3578]
📒[Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 01, Pg : 313, Hadees : 519]
📒[Ibn Majah As-Sunan, Volume-01, Page-197, Kitab : Iqamat Al Salat Wa Sunnat, Hadith-1385]
📒[Nasa’i - Amal Al Yawm Wal Layla Pg : 417, Hadees -658,659]
*📑Scan page of Sunan Tirmidhi*
✍🏻Imam Tirmizi رحمة الله عليه ne Is Hadees ko Hasan Karar diya Imam Hakim رحمة الله عليه ne Sahi Likha hai
▶Qazi Shawkani Jinhe Gair Mukallideen Ahle Hadees Jamat k nazdik bahot Motebar maana jaata hai Apni kitab Tuhfatuz Zakireen me Isi Hadees k hawale se likhte hai "Aur Is Hadees e paak se Huzoor ﷺ k Waseela Lene Ka Saboot Milta hai Lekin Ye Akeeda Ho k ALLAH عزوجل HI ATA KARTA HAI WO HI LETA HAI JO ALLAH عزوجل CHAHE JO NA CHAHE WO HI HONA HAI"
*📑Scan page niche hai mulahiza ho*
📒[Tuhfatuz Zakireen, Pg.138. By Qazi Shawkani]
*📑Scan Page of Tuhfatuz Zakireen by Qazi Shawkani*
سبحان الله
Haq hai Sar Chad k Bolega ...
Is Hadees e Mubaraka se wajeh hua k Sahaba-E-Keraam رضى اللّٰه تعالیٰ عنهم ka bhi Mamoor Tha k wo Aaka ﷺ k Waseele se dua manga karte the aur Aaka ﷺ ne kabhi khud k waseele ko bhi inkaar nahi kiya agar Huzoor ﷺ ka waseela Jaiz na hota to us naabeena sahabi رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ko saaf inkar kar dete k tu mera waseela na talab kar direct Allah se dua maang mujhe tere aur Rab k bich me na la magar aisa na kiya aur sahaba bhi chahte to Allah عزوجل se hi dua maang lete magar Huzur ﷺ k pass Aake wo ye akeeda de rahe hai beshak dene waala to Allah عزوجل hi hai par Huzoor ﷺ k sadke se hi dega سبحان الله
‼Note‼
Kuch Hazrat Ye kehte milenge k yaha Waseela Sirf us wakt tak jaiz tha jab tak Huzoor ﷺ Ba Hayat the ab waseela shirk hoga. معاذ الله
Hum yaha niche hi kuch aisi hadeese bhi pesh kar rahe hai jis se wajeh hojayga k Waseela har wakt jaiz hai.
🔮Huzoor ﷺ k Baad Az Wisal Waseele Ka Saboot :
📜Hadees 04 :
🌹Ek shaks kai bar Hazrat Usman Bin Affan رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ke paas apni hajat rawai ke liye aata, lekin Hazrat Usman رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ne uspar tawajjoh nahi diya,
tab wo Hazrat Usman Bin Hunaif رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ke paas gaya aur maamle ki shikayat ki.
To Hazrat Usman Bin Hunaif رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ne farmaya:
Jaao, achhi tarah wuzu karo, aur fir Masjid me aakar 2 rakat Namaz ada karo, aur fir is tarah kaho,
''Aye ALLAH عزوجل! mai tujhse sawal karta hu, aur teri taraf rukh karta hu, aur Muahmmed ﷺ Nabi-e-Rehmat ke waseele se tujhse dua karta hu, Aye Mohammed ﷺ, Maine apni hajat ke liye apke Waseele se ALLAH عزوجل ki taraf rukh kiya, aye ALLAH عزوجل! Ye Waseela qubul farma''
aur fir apni Haajat pesh karo, aur fir mai tumhare sath Hazrat Usman رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ke paas chalta hu.
To us shaks ne waisa hi kiya, jaisa ki use karne ke liye kaha gaya tha,
fir iske baad wo Hazrat Usman رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ki bargah me hazir hua, Darwaze wale ne is shaks ka hath pakda aur Hazrat Usman رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ke paas le jaakar bitha diya,
Hazrat Usman رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ne pucha, 'Tumhe kya chahiye?'
to us Shaks ne apni Hajat pesh kiya, jo kuch use zarurat thi, tab Hazrat Usman رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ne use ata farma diya.
📚References📚
📒[Imam Tabrani ne Ma'jam As Sagheer Vol : 01 Pg : 306-307,Hadees : 508]
📒[Imam Tabrani ne Ma'jam Al Kabeer Vol : 09 pg : 17-19, Hadees : 8311]
📒[Imam Haytami Ne Majma Az Zawaid Vol: 02, Baab : Salat Al Hajah, Hadees : 3668,]
📒[Imam al-Mundhiri ne At-Targheeb wa Tarheeb, Page No. 242, Baab : Salat Al Hajah]
📒[Imam Bayhaqi ne Dalail An nubuwwah Volume : 6 Page : 167-168]
📒[Imam Taqi ud Din Subki ne Shia As Siqam Vol : 1 Pg : 370-372, Baab : Baad Az Wisal Un Nabi Sal Allahu Alaihi Wassalam]
📒[Ibn Taymiyyah ne is hadees ko “Sahih” likha Qa'ida al Jaleela fit Tawassul wal Waseela Page No. 156]
📒[Imam Muhammad bin Yusuf al-Salihi Al Haadi ne Sabl al Hadi, Vol :12,Baab 05 : Waseela E Mustafa ﷺ Baad Az Wisal, Pg : 407]
*📑See Scan Pages Of Hadees*
📒1)[Imam Tabrani ne Ma'jam As Sagheer Vol : 01 Pg : 306-307,Hadees : 508]
Front cover of Majam As Sageer
YE Scan Pages Imam Tabrani ne...
📒Ma'jam As Sagheer Vol : 01 Pg : 306-307, Hadees : 508 ka is hadees ko likne k baad Imam Tabrani رحمة الله عليه ne Khud hi likha hai ye hadees sahi hai..سبحان الله
📒Ab Imam Imam al-Mundhiri ne At-Targheeb wa Tarheeb, Page No. 242, Baab :
*📑Salat Al Hajah ka Scan niche dekhiye*
Aur bhi bahot se hai jo is hadees k sahi hone me gawahi dete hai ye do kaafi hai aur mazid dusri bhi hadees e paak hai jo yaha upload karni hai aur Imam Muhammad bin Yusuf al-Salihi Al Haadi ne Sabl al Hadi me baab ka naam hi rakha hai Waseela Bad Aj Wisal aur us baab me ye hadees nakal ki hai sahi isnaad.
1) Baad az wisal Usman Bin Hunaif رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه khud dusre shaks ko ye amal de rahe hai k jao aur usi trah dua karo jo nabeena sahabi رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ne kiya tha agar baad az wisal waseela nazaiz hota to bhala kyu hukm dete aur phr Hazrat Usmam Gani رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ne bhi haajat puri ki hai aur akeeda diya hai k ye kaam hargiz shirk nahi hai.
📑Look All Scan Pages👇🏻

No comments:
Post a Comment
Don't comment any spam link in comment box