Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Friday, July 3, 2020

Huzoor ﷺ Ne Apne Sahabi Ko Gaib (Future) Ki Khabar Di

*Huzoor ﷺ Ne Apne Sahabi Ko Gaib (Future) Ki Khabar Di*

Hazrat Imam *Bukhari* Al Mutawaffah *256* Hijri Ne Apni Kitab *Tareekh al Kabeer*
*&*
Hazrat Imam *Tabarani* Birth *260* Hijri Ne Apni Kitab *Al Maujam al Kabeer* Me
*&*
Hazrat Imam *Bayhaqi* Al Mutawaffah *358* Hijri Apni Kitab *Sunan al Kubra* Me Sabne Hadith Code Ki Hai

_Hazrat Khazim Bin Aaus Bin Harisa Bin Laam رضي الله عنه Se Riwaayat Ki, Unhon Ne Kaha Mene Rasool Allah ﷺ Ki Janib Se Us Waqt Hijrat Ki Jab Ke Aap ﷺ Tabook Se Waapis Tashreef Laye The_ *Huzoor ﷺ Ne Us Waqt Farmaya Yeh Heera Beeza Hai Jise Meray Saamney Laaya Gaya Hai Aur Yeh Sheema'a Bint-E-Nafeelah Azdiyah Apney Khachar Sheba'ah Par Kala Dupatta Orhey Mojood Hai Mene Arz Kiya Ya Rasool Allah ﷺ Agar Hum Heera Main Daakhil Hon Aur Agar Main Ise Wesa Hi Paaon Jesa Ke Aapney Uski Sifat Bayaan Ki To Kiya Woh Meray Liye Hogi? Huzoor ﷺ Ne Farmaya Woh Tumharey Liye Hai Lihaaza Jab Haazrat Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه Ka Zamana-E-Khilaafat Aaya Aur Hum Muslimah Kazzaab Ke Istesaal Se Faarig Huwe To Heera (Ek Place Ka Naam) Ki Taraf Mutawwajjah Huwe, Hamarey Daakhil Honey Ke Baad Jo Aurat Sab Se Pehle Humen Mili Woh Sheema'a Bint-E-Nafeelah Thin Aur Same Usi Sifat Haaal Main Thin Jiski Khabar Huzoor ﷺ Ne Di Thi Yaani Woh Apney Khachar Shebah Par Kaala Dupatta Orhey Sawaar Thi Aur Main Iske Saaath Muta'alliq Hogaya Aur Mene Kaha Yahi Woh Aurat Hai Jise Huzoor ﷺ Ne Mujhey Ata Farmaya*

_Phir Hazrat Khaalid Bin Waleed رضي الله عنه Ne Is Par Mujh Se Shahaadat Talab Farmai Aur Mene Us Ki Shahaadat Pesh Ki Woh_ *Shahaadat Hazrat Muhammad Bin Muslimah رضي الله عنه Aur Hazrat Muhammad Bin Bashar رضي الله عنه Ki Thi* _To Hazrat Khaalid Bin Waleed رضي الله عنه Ne Usey Meray Hawaaley Kar Diya_
*Subhan'Allah*

_Yani Jo Waqia *10* Saal Baad Hone Wala Tha Usko Huzoor ﷺ Pehle Hi Dekh Rahe Aur Sahabi Ko Uski Khabar Bhi De Rahe_ 

*Reference Book*
Khasais Ul Kubra
Vol *2* Page *186*
*Scan Page*
📗📄👇🏼

No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna* ¹ Hazrat Imam *Na'eem Bin Hammad* Bin Muawiya Al Mutawaffah *228* Hijri & ² Hazrat Ima...