Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Wednesday, July 15, 2020

Aala Hazrat lakab kisne diya??

 Jab Koi Aala Hazrat Kehta Hai To Fauran Hamara Zahen Us Bareliy Wale Ki Taraf Jata Hai Jisko Ham Imam Ahmed Raza Fazile Barelvi Ke Naam Se Jante Hain.

Kyu Na Kahe Us Aashiqe Rasool(Sal-lal-laahu Ta'ala Alayhi Wasallam) Ko Aala Hazrat Jis Ne Apni Puri Zindagi Apne Rasool (Sal-lal-laahu Ta'ala Alayhi Wasallam) Ki Muhabbat Me Guzari Lekin Aaj Kuch Log Aala Hazrat Kehne Par Aitraz Karte Hain.

Me Un Logon Ko Bata Dena Chahta Ho Ke, jo aala hazrat KO bura samagte h..

Ahmed Raza Ko Aala Hazrat Laqab Mila Hai Wo Kisne Diya He.

Dekhiye Aur Apni Islah Farmaye.

Ek Martaba Fazile Barelvi Huzur Waris E Paak Ki Khidmat Me Hazir Huye The.
Wahan Par Bahut Sare Log Maujood The.
Jisme Ulama Bhi The.
In Logon Ke Sath Imam Ahmed Raza Fazile Barelvi Bhi Baith Gaye.

Imam Ahmed Raza Ko Waris E Paak Ne Dekh Liya .
Imam Ahmed Raza Ko Mukhatib Karke Waris E Paak Ne Irshaad Farmaya Ke Aap Us Jagah Nahi Balke Is Takht Par Baithiye.

Kyun Ke Yeh Sab Log Hazrat Hain Aur Aap Aala Hazrat Ho.
Aulma e Haq ke nazdeek Aala Hazrat se muhabbat rakhna sunniyat ki alamat hai aur aapse jalna aur bughz rakhna bad-deen hone ki pehchaan hai Maulana Qadir Baksh Sahsarani jo ek bohat bade mashoor Aalim aur zabardast mukarir the unse ek martaba kuch logoñ ne pucha Hazrat sunni-wahabi ki kya pehchaan hai?  Maulana Sahab ne ek bohat badhia aur aasan qayda bataya ki jabh Aap log kisike baareiñ mein maloom karna chahe ki woh sunni hai ke wahabi toh uske samne Aala Hazrat Shah Ahmed Raza Khan رضي الله عنه ka tazkira ched de aur uske chehre ko bagaur dekhiye agar chehre par khushi ke aasar dikhayi pade toh samajh lijiye ke sunni hai aur agar chehre par qudurat dikhai de toh samajh lijiye ke wahabi hai aur agar wahabi nahi jabh bhi usme kisi qism ki bedeeni zaroor hai.

1 comment:

Don't comment any spam link in comment box

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Ghaib Aur Hazrat Isa* 𝐻𝑎𝑧𝑟𝑎𝑡 𝐼𝑚𝑎𝑚 *𝐴𝑏𝑢 𝐹𝑎𝑟𝑎𝑗 𝐼𝑏𝑛 𝑎𝑙-𝐽𝑎𝑤𝑧𝑖* Al Mutawaffah *597* Hijri Likhte ...