Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Thursday, June 18, 2020

Jannatiyo Aur Jahennamiyo Aur Unke Baap Dadao Ke Naam Huzoor ﷺ Ke Haatho

*Jannatiyo Aur Jahennamiyo Aur Unke Baap Dadao Ke Naam Huzoor ﷺ Ke Haatho*

_Hazrate Abdullah Bin Amr رضي الله عنه Bayan Karte Hain Ke Ek Din Rasool Allah ﷺ Humare Paas Tashreef Laaye_ *Aap ﷺ Ke Haatho Mein Do Kitabein Thi Aap ﷺ Ne Farmaya Ke Kya Tum Jaante Ho Ke Ye Do Kitabein Kis Cheez Se Mutalliq Hain? Hum Ne Arz Kiya Nahi Ya Rasool Allah ﷺ! Aap Hi Humein Batayein Huzoor ﷺ Ne Apne Daayein (Right) Haath Waali Kitab Ke Baare Mein Farmaya Ke Ye Kitab Rabbul Aalameen Ki Taraf Se Hai Jis Mein Ahle Jannat Ke Naam Hain Unke Aaba-o- Ajdaad Aur Qabilo Ke Naam Hain Phir Is Ke Aakhir Mein Muhar Laga Di Gayi Hai In Mein Koi Izafa Nahi Ho Sakta Aur Na Hi Koi Kami Ho Sakti Is Ke Baad Aap ﷺ Ne Apne Baayein (Left) Haath Mein Maujood Kitab Ke Baare Mein Farmaya Ye Rabbul Alimeen Ki Kitab Hai Iske Andar Jahennamiyon Ke Naam Aur Unke Aaba o Ajdaad Aur Unke Qabilo Ke Naam Hai Aur Phir Iske Akhir Me Muhar Laga Di Gai Hai In Me Koi Izafa Nahi Ho Sakta Aur Na Kami Ho Sakti  Sahaba Ne Arz Kiya Ya Rasool Allah ﷺ Phir Amal Kis Liye Kare Jabke Is Mamle Se Faraghat Ho Chuki Hai Aapne Farmaya Sidhi Rah Par Chalo Aur Darmiyani Rawaiya Ikhtiyar Karo Is Liye Ki Jannati Ka Khatma Jannati Ke Amal Par Hoga Agarche Is Liye Pehle Wo Jo Bhi Amal Kare Phir Rasool Allah ﷺ Ne Apne Dono Haatho Se Ishaara Kiya Phir Farmaya Tumhara Rab Bando Se Farigh Ho Chuka Hai Ek Firqa Jannat Me Jayega Aur Ek Firqa Jahennam Me*

Explanation This Hadith
*Hazrat Shaykh Abdul Aziz Dabbagh رحمۃ اللہ علیہ  Al Mutawaffah 1131 Is Hadees Ki Tashrih Karte Huye Farmate Hain Ke Is Hadees Mein Kitabat Se Muraad Tehreeri Shakl Nahi Hai Balki Is Ka Matlab Ye Hai Ke Jab Aap ﷺ Ne Kitab Ke Awraaq Ki Taraf Tawajjoh Farmayi To Ahle Jannat Wa Jahannam Ke Tamam Naam Aap ﷺ Ko Dikhayi Diye Is Ki Mazeed Wazahat Yun Ki Ja Sakti Hai Ke Jab Bhi Huzoor ﷺ Kisi Cheez Par Nazre Mubarak Daalte Hain To Aap Ke Saamne Se Tamam Hijabaat (Parde) Utha Liye Jaate Hain Allah ﷻ Ne Aap ﷺ Ko Kaamil Tareen Roohani Baseerat Ata Farmayi Hai Aur Jab Ye Roohani Baseerat Aap ﷺ Ki Zaahiri Basarat Ke Saath Mil Jaaye To Aap ﷺ Ki Zaahiri Aankho Ke Saamne Se Bhi Tamam Hijabaat Hat Jaate Hain Is Liye Aap ﷺ Kisi Bhi Mahjoob Cheez Ko Usi Shay Mein Dekh Lete Hain Jo Us Waqt Aap Ke Saamne Maujood Ho Bil Farz Agar Aap ﷺ Ke Saamne Koi Deewar Maujood Ho To Aap ﷺ Deewar Mein (Bhi) Us Chhupi Cheez Ka Mushahida Farmayenge Aur Agar Us Waqt Aap Ka Dast -e- Aqdas Aap ﷺ Ke Saamne Hoga To Wahi Cheez Aap ﷺ Ko Apne Haath Mein Nazar Aayegi Aur Agar Aap ﷺ Ke Saamne Koi Kaghaz Maujood Ho To Wo Chhupi Cheez Aap Ko Kaghaz Mein Nazar Aayegi*
Ref: Al Abrayz Page *97-&-98*

*Reference Book*
Jame Tirmizi
Vol *4* Hadees *2148*
*Scan Page*
📗📄👇🏼

No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna* ¹ Hazrat Imam *Na'eem Bin Hammad* Bin Muawiya Al Mutawaffah *228* Hijri & ² Hazrat Ima...