Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Friday, June 12, 2020

Abu Bakar siddiq ka aqida nabi jinda hai


Hazrat Siddiq-e-Akbar Radi-Allahu-Ta"aala-Anhu Ne Apne Visaal-e-Mubarak Se Pehle Hazrat Ali Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ko Farma Diya Tha Ki Mere Janaze Ko Taiyyar Karke Hujra Sharif Jisme Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ka Mazaar-e-Anwar Hai, uske Saamne Rakhker Arz Karna-Assalamu Alaikum Ya Rasoolallah

(SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM)
Yeh Abu-Bakr Aapke Darwaze
Per Haazir Hai pher Jaisa Hukum Ho Wahi Karna.

Chunanche, Aapki Wasiyat Ke Mutabik Aapke Janaze Ko Hujre Ke Saamne Rakhker Arz Kiya Gaya, Ya Rasoolallah (SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM) Yeh Aapke Yaar-e-Ghaar Abu-Bakr Aapke Darwaze Per Haazir Hain Inki Tamanna Aapke Hujre Sharif May Dafan Hone Ki Hain Agar Ijazat Ho To Hujra Sharif Me Dafan Kiya Jaye?
Yeh Sunker Hujra Sharif Ka Darwaza Jo Pehle Bandh Tha Khud-Ba-Khud Khul Gaya Aur Awaaz Aayi- "Habib Ko Habib Se Mila Do, Kyon ki Habib Ko Habib Se Milne Ka Ishtiyaak Hai"
Jab Hujra Sharif Me Hazrat Abu-Bakar
Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ke Dafn Karne Ki Ijazat Hui To Janaza-e-Mubarak Ko Ander Legaye Aur Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM K Kandhe Mubarak K Kareeb Aapko Dafan Kardiya Gaya..

📝Refrence.
Siratus Saliheen Page no 92..

Tafseer-e-Kabeer Jild:5, Safa:685.

Khasasi'ul Qubra Jild:2, Safa:282 )

Tarikh-e-Damishq. Pg.747)

No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna* ¹ Hazrat Imam *Na'eem Bin Hammad* Bin Muawiya Al Mutawaffah *228* Hijri & ² Hazrat Ima...