Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Monday, October 21, 2019

iman e Abu Talib Quran O Hadees WA Akabir A'IMMA Ki Nazar Mein*‼

*POST 0⃣1⃣*

‼ *iman e Abu Talib Quran O Hadees WA Akabir A'IMMA Ki Nazar Mein*‼

_Hazrat imam Jalaluddin Siyuti  Sureh Tauba Ki Aayat -:_

*مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾*

❗ *Tarjama* -:
_Nabi Aur iman Walon Ko Layaq Nahi Ke Mushrikon  ki Bakshish Chahen Agarche Wo Rishtedar Hun Jabke Uneh Khol Chuka Ke Wo Dozakhi Hain_.

🛑 *iss Shane Nozul Farmate Howe Likhte Hain Ke -:*
_“is Aayat Ke Nuzool Ka Taluk Huzoor ﷺKa  Apne Cha cha Abu Talib Ke Liye Astagfaar Aur Baaz Sahaba Ka Apne  Walidain Mushrikain Ke Liye Astagafar Karne Se Hai._

*📚Tafsir Jalalain vol 1 page 205*
*POST 0⃣2⃣*

‼ *iman e Abu Talib Quran O Hadees WA Akabir A'IMMA Ki Nazar Mein*‼

❤ _imam Qurtaba Sureh Tauba Ki Aayat -:_

*مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾*

❗ _Ki Tafsir Mein Likhte Hain -:_

 *Maut ke Waqat Aadmi Ki Zahiri Halat Ke Mutabiq Usper Hukam Lagaya  Jaye ga Pas Agar Koi Halate iman Per faut Howa Tu Uske Liye is {iman} Ka Hukam Lagaya Jaye Ga Aur Agar Halate Kufar Per Faut Howa Tu Uske Mutabiq Hukam lagay Jaye Ga Aur Uske Batin Ki Halat Tera Rab Behtar Janta Hai Magar Ye Ke Huzoor ﷺ Ko  Hazrat Abbas ؓ Ne Kaha*
 _Ya Rasool Allah Kiya aap Ne Apne Cha Cha Ko Kisi Shaye Ka Nafa Diya Hai ❓_
*Toh Huzoor ﷺ Ne irshad Farmaya Haan Aur wo Azaab Ki Takhfif Ke Baare Shafa,at Aur Sifarish Hai Na Ke Jahanam Se Nikalne Ke Baare Mein Jaisa Ke Hum Ne ise Kitab “Al Tazkira” Mein Bayan Kiya hai ...*

📚 *Tafsire Qurtabi*
❗ *vol 4*
❗ *page 757*

*POST 0⃣3⃣*

‼ *iman e Abu Talib Quran O Hadees WA Akabir A'IMMA Ki Nazar Mein*‼

🛑 _Hazrat e Abu Talib Mufassire Quran imam Qurtabi Ki Nazar Mein *iman nhi laaye the*_

❗ *imam Qurtaba Sureh Tauba Ki Aayat -:*

*مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾*

*Ki Tafsir Mein Likhte Hain Ki-:*

_Maut ke Waqat Aadmi Ki Zahiri Halat Ke Mutabiq Usper Hukam Lagaya  Jaye ga Pas Agar Koi Halate iman Per faut Howa Tu Uske Liye is {iman} Ka Hukam Lagaya Jaye Ga Aur Agar Halate Kufar Per Faut Howa Tu Uske Mutabiq Hukam lagay Jaye Ga Aur Uske Batin Ki Halat Tera Rab Behtar Janta Hai Magar Ye Ke Huzoor ﷺ Ko Ko Hazrat Abbas ؓ Ne Kaha -:_

*Ya Rasool Allah Kiya aap Ne Apne Cha Cha Ko Kisi Shaye Ka Nafa Diya Hai? Tu Huzoor ﷺ Ne irshad Farmaya Haan Aur wo Azaab Ki Takhfif Ke Baare Shafa,at Aur Sifarish Hai Na Ke Jahanam Se Nikalne Ke Baare Mein Jaisa Ke Hum Ne ise Kitab “Al Tazkira” Mein Bayan Kiya hai ...*

❗📚Tafsire Qurtabi
❗ vol 4
❗page 757

*POST 0⃣3⃣*

‼ *iman e Abu Talib Quran O Hadees WA Akabir A'IMMA Ki Nazar Mein*‼

🛑 *9wi sadi ke mujaddid  Imam Jalaluddin Siyuti ki Nazar Mein Hazrat e Abu Taalib ne Majhab e Islam Qabool nhi kiya.* 🛑

❗ _Hazrat imam Jalaluddin Siyuti  Sureh Tauba Ki Aayat -:_

*مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾*

❗ _Tafseer Mein Likhte Hain -:_

*“Jab Abu Talib Qareeb ul Maut Howe Tu Huzoor ﷺ Unke Paas Tashrif Legaye Us Waqat Unke Paas Abujahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Maujod Thy Tu Huzoor Nabi Karim ﷺ Ne Farmaya Aye Chacha Kaho لا الہ الا اللہ  Main iske Mutaliq Allah Ki Bargah Mein Tumhare Liye Shahadat Dun Ga Ye Sunkar Abu jahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Dono Ne Kaha -:*

_Aye Abu Talib Kya Tum AbdulMutalib Ke Deen Se Eraaz Karo Ge ❓Huzoor ﷺ USper Kalma Shahadat Pesh Farmate Rahe Aur Abu Jahal Aur Abdullah Bin Umaiya Donno is Guftagu ke Bare Mein AbuTalib Ki Muawinat Karte Rahe Aakhiar kaar Abu Talib Ne unse Guftagu Karte Howe Kaha Ke Wo Abdul Mutalib Ke Deen Per Hain Aur لا الہ الا اللہ Kehne Se inkar Kar Diya._
*Tu Huzoor ﷺ Ne Farmaya Mein Zaror Ba Zaror Tumhare Liye Astagfar Karon Ga Jab Tak Ke Mujhe Tere Liye isse Se Rook Na Diya jaye Pas Ye Ayat Nazil Howi -:*

*مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾*

📗 *Tafser Durre Mansoor*

📚 *Vol 3 Page 853*


*POST 0⃣4⃣*

‼ *iman e Abu Talib Quran O Hadees WA Akabir A'IMMA Ki Nazar Mein*‼

🛑  *Hazrat e Abu Talib Ne islam Qabul Nahi Kiya Tafsir ibne Abbas*

❗ _Tafsir Ibne Abbas Sureh Tauba Ki Aayat 113 ki Tafsir Mein likha Hai -:_

➡ _Jab Abu Talib ki Maut Ka Waqat Qareeb  Tu Huzoor ﷺ Unke Paas Tashrif Legaye Us Abu Talib Ke Paas Abujahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Baitha Tha  Huzoor ﷺ Ne Farmaya -:_

*Aye Chacha  لا الہ الا اللہ   padh lo Taaky Allah Ke Saamne Tumhari Sifarish Kar saku.*
*Ye Sunkar Abu jahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Kehne Lage  Aye Abu Talib Kya  AbdulMutalib Ke Mazhab Se Eraaz Karte Ho ❓*

_Ye Dono Musalsal Abu Talib Se Guftagu Karte Rahe Bil Aakhir Unka Aakhri Kalam Yahi Tha  Ke Millate Abdul Mutalib Per Marta Hun isper_

*Huzoor ﷺ Ne Farmaya Mein Tumhare Liye Barabar Astagfar Kaaron Ga Jab Tak Ke Mujhe isse Rook Na Diya Jaaye Tab Ye Aayat Utri -:*

*مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾*

*📗Tafser ibnne Abbas*

*📚Vol 2 Page 1*

No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna* ¹ Hazrat Imam *Na'eem Bin Hammad* Bin Muawiya Al Mutawaffah *228* Hijri & ² Hazrat Ima...