*Huzoor ﷺ Se Pichle (Before) Nabiyo Ke Haal Unki Wasiyat Bhi Jantay Hain Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib*
_Hazrat Imam *Bukhari* Al Mutawaffah *256* Hijri Hadith Code Karte Hain_
*Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya Kya Mein Tumhein Hazrat Nooh عليه السلام Ka Apne Bete Ko Ki Huwi Wasiyat Na Bataon ? Toh Sahaba-e-Kiram Ne Arz Kiya Ya Rasool Allah ﷺ Zaroor Bataayein Huzoor ﷺ Ne Farmaya ALLAH ﷻ Ke Nabi Hazrat Nooh عليه السلام Ke Wisaal Ka Waqt Kareeb Aaya To Unhone Apne Bete Se Farmaya Me Tumhein Wasiyat Karta Hu Main Tumhein 2 Baaton Ka Hukm Deta Hu Aur 2 Baaton Se Mana Karta Hu Mein Tumhein La ﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ Ka Hukm Deta Hu Kyunki Agar 7 Aasman Aur Zameen Ek Parlay Me Rakhein Jaye Aur ﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ Dusre Parlay Me To ﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ Ka Parla Bhari Ho Jayega Aur Agar 7 Zameen Aur 7 Aasman Ek Mazboot Daayra Ban Jaye To ﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ Inhe Bhi Tod Dega Aur Mein Tumhein Subhan'Allah wa-Bihamdihi Ka Hukm Deta Hu Kyunki Ye Har Makhlok Ki Dua Hai Aur Isi Ke Wasile Sabko Rizq (Rozi) Diya Jata Hai Aur Mein Tumhein Shirk Aur Takabbur (घमंड) Se Mana Karta Hu*
*Conclusion*
_Huzoor ﷺ Hazrat Nooh عليه السلام Ke Almost 7-&-8 Hazar Saal Baad (After) Duniya Me Tashreef Laye Lekin Aaqa ﷺ Ka ilm e Gaib Dekho Ki Hazrat Nooh Ne Apne Bete Ko Kya Wasiyat Ki Aur Us Wasiyat Me Kya Kya Alfaaz Kahe Sab Huzoor ﷺ Jantay Hain_ *Aur Jab Huzoor ﷺ Ne Sahaba Se Unki Wasiyat Ke Bare Me Kaha Tu Koi Bhi Sahabi Ye Nahi Bole Ki Aapko Kya Pta Kaise Pta Wo To Hazaro Saal Pehle Thay* (Maaz'Allah) *Kyunke Wo Sahabi Thay* Wahabi Nahi 🤷🏻♂️
Reference Book
*Al Adab al-Mufrad* [Published *Dar al-Siddiq* Jubayl *Saudi*
Vol *1* Hadees *548*
&
Al Silsila As-Sahiha [Mat'boa] *Riyadh Albani*
Raqam no *#3130*
*Scan Page*
📗📄👇🏼
No comments:
Post a Comment
Don't comment any spam link in comment box