*Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Medan e Badr*
*Hazrat Imam Muslim Bin Hajjaj Al Mutawaffah 261 Hijri Hadith Code Karte Hain*
_Hazart Anas Bin Maalik رضي الله عنه Bayan Karte Hain Ki Jab Hamein Hazrat Abu Sufyan رضي الله عنه Ke Qaafile Ki Shaam Se Wapas Aane Ki Khabar Pahunchi To Huzoor ﷺ Sahaaba Se Mashvira Farmaya Hazrat Saa’d Bin Ubaadah رضي الله عنه Khade Ho Kar Arz Kiya *Ya Rasool Allah* ﷺ ! Aap Hamaari Raay Jaan’na Chaahte Hain_ *To Hazrat Saad Ne Arz Ki Us Zaat Ki Qasam Jis Ke Qabza-E-Qudarat Me Meri Jaan Hai ! Agar Aap ﷺ Hamein Samundar Me Ghode Daalne Ka Hukm De To Ham Samundar Me Bhi Ghode Daal Denge Agar Aap Hamein Barkil Ghimaad Pahaad Se Ghodon Ke Seene Takraane Ka Hukm De To Ham Aisa Bhi Karenge.* _Tab Aap ﷺ Ne Logon Ko Bulaaya, Log Aaye Aur Waadee-E-Badr Me Utare. Phir Huzoor ﷺ Ne Farmaya_ *Yah Fula’n Kafir Ke Qatl Ho Kar Ghirne Ki Jagah Hai Ye Falah Kafir Ke Qatl Hone Ki Jagah Ye Fulah Ki Qatl Hone Ki Jagah Huzoor ﷺ Zameen Par Is Jagah Aur Kabhi Dusri Jagah Dast-E-Aqdas Rakhte. Hazrat Anas رضي الله عنه Kahte Hain Ki Phir Doosare Din Ko’i Kaafir Huzoor ﷺ Ki Bataayi Huwi Jagah Se Zarra Baraabar 1 Inch Bhi Idhar-Udhar Ghir Ke Nahi Mara.”*
Allahu'akbar'kabira
*Conclusion*
_Yani Kaun Kaha Marega Kis Jagah Marega Ye To Allah Ta'ala Hi Janta Hai_ *Par Allah Ne Apne Rasool ﷺ Ko Iska Bhi ilm Ata Kiya Hai Ki Wo Bhi Jantay Hain Ki Kaun Kaha Kis Jagah Par Aur Kab Marega*
Reference Book
*Sahih Muslim*
Vol *5* Hadees *4621*
*Scan Page*
📗📄👇🏼
No comments:
Post a Comment
Don't comment any spam link in comment box