*Didaar e Khuda Ta'ala*
_Yahudiyo Nasraniyo Ke Dalal Wahabi Ahle'hagees Selfie 🤳🏿Najdi Quran Ki Jis Aayat Ko Bataur e Dalil Pesh Karte Hai Wo Ye Hai_
*لَا تُدْرِكُهُ الْأَبْصَارُ وَهُوَ يُدْرِكُ الْأَبْصَارَ ۖ وَهُوَ اللَّطِيفُ الْخَبِيرُ*
*Translate*
_“Koi Aankh Uska ihaata Nahi Kar Sakti Aur Har Aankh Uske ihaate Me Hai”_
*(Surah Anam Ayat 103)*
Is Ayat Ko Pesh Karke Wahabi Ahle'hagees Kehte Hai Ki ALLAH ﷻ Ka Didar Mumkin Nahi Hai *Halanki Is Ayat Me Ye Sabit Nahi Hota Ke ALLAH ﷻ Ka Deedar Namumkin Hai Balki Logo Ki Salahiyat Ki Nafi (Radd) Kiya Gaya Hai Ke Logo Ki Aankhon Me Wo Idraak Nahi Hai Jo Allah ﷻ Ki Tajjaliyat Ko Bardasht Kar Sake. To Phir Jiski Aankho Me ALLAH ﷻ Wo Idraak (Takat) Ata Kare Uske Liye Zaror Mumkin (Possible) Hai Ke Wo ALLAH ﷻ Ka Deedar Kar Sake.* _Jaise Musalmano Ke Last Prophet Muhammad Mustafa ﷺ Ne Allah Ta'ala Ko Dekha Aur Allah Ta'ala Ne Apna Didaar Baarha Karaya_
Quran Surah Al Aaraf Ayat *No-143*
وَلَمَّا جَاءَ مُوسَىٰ لِمِيقَاتِنَا وَكَلَّمَهُ رَبُّهُ قَالَ رَبِّ أَرِنِي أَنْظُرْ إِلَيْكَ ۚ قَالَ لَنْ تَرَانِي وَلَٰكِنِ انْظُرْ إِلَى الْجَبَلِ فَإِنِ اسْتَقَرَّ مَكَانَهُ فَسَوْفَ تَرَانِي ۚ فَلَمَّا تَجَلَّىٰ رَبُّهُ لِلْجَبَلِ جَعَلَهُ دَكًّا وَخَرَّ مُوسَىٰ صَعِقًا ۚ فَلَمَّا أَفَاقَ قَالَ سُبْحَانَكَ تُبْتُ إِلَيْكَ وَأَنَا أَوَّلُ الْمُؤْمِنِينَ
Tarjuma
*Aur Jab Musa Hamare Waade Par Haazir Huwa Aur Usse Uske Rab Ne Kalam Farmaya Arz Ki Aye Rab Mere Mujhe Apna Deedar Dikha Ki Taki Tujhe Dekhu, Farmaya Tu Mujhe Hargiz Na Dekh Sakega Haa Is Pahad Ki Taraf Dekh Ye Agar Apni Jagah Par Tehra Raha To Bahot Jald Tu Mujhe Dekh Lega Phir Jab Uske Rab Ne Pahad Par Apna Noor Chamkaya Usse Tukde Tukde Kar Diya Aur Moosa Gira Behosh Huwa Bola Paaki Hai Tujhe Main Teri Taraf Ruzu Laaya Aur Mai Sabse Pehla Musalman Hoon”*
_Tafseer E Jalalayn Jisko Do Bade Muhaddis Mufassireen Mujaddideen Ne Milke Mukammal Kiya_
*(1) Hazrat Imam Jalaluddin Al Mahalli Al Mutawaffah 864 Hijri (2)Hazrat Imam Jalaluddin As Suyuti Ash Shafai Al Mutawaffah 911 Hijri*
_Iski Tafseer Me Likhte Hai_ ✒️
*Tu (Hazrat Musa) Mujhe (Allah) Ko Hargiz Na Dekh Sakega iska Matlab Hai Ki Tum Me Dekhne Ki Salahiyat (Takat) Nahi Hai isliye Allah ﷻ Ne Yaha Quran Me Lafz (LAN TARANI لَنْ تَرَانِي ) istemal Huwa Naaki LAN URAH Jiska Matlab Hai Jisko Dekhna Na'mumkin Hai) Jis Se Pata Chalta Hai Ki Allah ﷻ Ko Dekhna Mumkin Hai Aur Aage Farmaya Agar Pahad Apni Jagah Rahe To Bahut Jald Mujhe Dekh Lega”* _Phir Aage Likhte Hai_
*Hakim Al Mustadrak Me Hadith Hai Jisme Hai Ki Hazrat Moosa عليه السلام Ne Tazaliat e Rabbani Ka Noor Ka Ek Halka Sa Mushaida Kiya (Yani) Dekha Jo Fakat Sabse Choti Ungli Ke Nakhoon Ka Chote Se Hisse Ke Barabar Hi Jhalak Dekhi Aur Behosh Hogaye.*
*Pay Attention*
_Is Ayat Se Pata Chala Ke Allah ﷻ Ko Dekhna Muhaal (Inposible Nahi Hai Aur Ambiya e Kiram Ki Ye Shan Nahi Hai Ke Wo ALLAH ﷻ Se Muhaal Chiz Ka Sawal Aur ilteza Bhi Kare Agar Allah ﷻ Chahe To Deedar Karade ALLAH ﷻ Ke Liye Ye Namumkin Nahi Hai_
Ref: Tafseer e Jalalayn *[Arabic]*
Page *167,* Under Surah Al *Aaraf* Ayat *143)*
*&*
English Page *147*
*Scan Page*
📄📗👇🏼
No comments:
Post a Comment
Don't comment any spam link in comment box