*Sahabi Ka Bhi Aqeeda Barelvi Wala*
_Hazrat Imam *Bukhari* Al Mutawaffah *256* Hijri Hadith Code Karte Hain_
_Hazrat Sahel Bin Saad رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ke Ek Sahabiya Aurat Huzoor ﷺ Ki Bargah e Aqdas Me Chadar Hadiya Lekar Aai Huzoor ﷺ Ne Us Chadar Ko Qubool Farma Liya Aur Ussay Pahen Liya Ek Sahabi Hazrat Abdur Rehman Bin Aauf رضي الله عنه Ne Wo Chadar Huzoor ﷺ Ke Badan e Paak Par Dekhi Aur Arz Ki Ya Rasool Allah ﷺ Ye Chadar Mujhay Ata Kar Dijiye To Raheem Kareem Aaqa ﷺ Ne Wo Chadar Un Sahabi Ko Dedi To Aur Sahaba e Karaam Ne Baad Me Hazrat Abdur Rehman Bin Aauf رضي الله عنه Se Kaha Ki Aapne Wo Chadar Huzoor ﷺ Se Maag Kar Thik Nahi Kiya Aur Aapne Dekha Bhi Tha Ki Huzoor ﷺ Ne Ussay Qubool Bhi Kar Liya Tha Halake Iski Huzoor ﷺ Ko Zarorat Bhi Thi Iske Maujud Bhi Aapne Huzoor ﷺ Se Manga To Sahabi_ *Hazrat Abdur Rehman Bin Aauf رضي الله عنه Ne Farmaya Mene To Sirf Us Chadar Se Barkat Hasil Karne Ke Liye Mangi Hai Kyunke Huzoor ﷺ Us Chadar Ko Apne Badan e Paak Se Laga Chuke Thay Aur Meri Khuwa'hish Hai Ki Mujhe Isi Chadar Me Kafan Diya Jaye*
Subhan'Allah
*Conclusion*
_To Maloom Hua Ke Sahaba Us Chiz Se Barkat Hasil Karte Thay Balke Unki
Tamanna Bhi Thi Ki Wahi Chadar Unka Kafan Bhi Ho Jo Chiz Ek Bar Huzoor ﷺ Ke Jism e Aqdas Se Lag Jaye_
Reference Book
*Sahih Bukhari* [Published *Saudi* Najdi
Vol *8* Hadees *6036*
*Scan Page*
📗📄👇🏼
No comments:
Post a Comment
Don't comment any spam link in comment box