*Imam Ke Piche Qirat Karna*?
_Aaj Gair Muqallid Ahle'hagees Najdi Imam Ke Piche Qirat Karne Ko Lazim Karar Dete Hai Aur Kehte Hai Ki Agar Koi Imam Ke Piche Qirat Na Kare Tu Uski Namaz Nahi_
Qur'an Sureh Aaraf Ayat *204*
*وَإِذَا قُرِئَ ٱلْقُرْءَانُ فَٱسْتَمِعُوا۟ لَهُۥ وَأَنصِتُوا۟ لَعَلَّكُمْ تُرْحَمُونَ*
Tarjuma Translate
*Aur Jab Qur'an Padha Jaye Tu Usay Kan Laga Kar Suno Aur Khamosh Raho Ki Tumpar Rahem Ho*
*Hadees*
_Hazrat Abu Musa Ashari رضي الله عنه Se Riwayat Hai Rasool Allah ﷺ Ne Hume Taleem Dete Hue Farmaya Ki Jab Tum Namaz Ke Liye Utho To Tum Mese Ek Ko Imam Ban Jana Chahiye Aur_ *Imam Qirat Kare To Tum Khamosh Raho*
*Conclusion*
_Qur'an o Hadees Se Pta Chala Ke Jab Qur'an Padha Jaye Tu Usko Khamoshi Se Dhyan Se Suna Jaye_ *Ab Chahe Namaz Me Imam Qirat Kare Ya Tilawat Kare Har Haal Me Muktadiyon Sunne Walon Par Wajib Hai Ki Wo Khamosh Rahe*
Reference Book
*Musnad Ahmad* [Published *Saudi Najd (Riyadh)]*
Safa *1405* Hadees *19723*
*Scan Page*
📗📄👇🏼
No comments:
Post a Comment
Don't comment any spam link in comment box