Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Thursday, November 19, 2020

Sahabi Ne Gustakh e Rasool Ko Qatl Karne Ki Fikr Me Khana Pina Chor'diya

 *Sahabi Ne Gustakh e Rasool Ko Qatl Karne Ki Fikr Me Khana Pina Chor'diya*


_Hazrat Imam *Bukhari* Al Mutawaffah *256* Hijri Hadith Code Karte Hain_


*Kaab Bin Ashraf* _Ye Rasool Allah ﷺ Aur Sahabia Ki Shan Me Gustakhana Aa'shar Padhta Aur Logo Ko Huzoor ﷺ Ke Khilaf Bhadkata. Ghazwa e Badr Me Kuffar e Makkah Ki Shikhast Per Isey Bahut Dukh Hua Wo Madine Se Makkah Gaya Aur Waha Jakar Isne Badr Me Marne Wale Quresh Ke Marsiya Kahe, Phir Wapas Aakar Isne Ek Sahabia Khatoon Umme Afzal Bint Harish Aur Degar Muslim Khwateen Ke Mutaliq Ishqia (Gande) Ashaar Kahe._


*To Phir Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya Kaun Hai Jo Kaab Bin Ashraf Ko Jahennam Raseed Karega ? Hazrat Muhammed Bin Muslima رضي الله عنه Ansari Ne Arz Kiya Ya Rasool Allah ﷺ Main Isey Qatl Karunga Huzoor ﷺ Farmaya Mujhe Ispar Khushi Hai Aur Inko Kaab Bin Ashraf Ko Qatl Karne Ki Ijazat Dedi. Hazrat Muhammed Bin Muslima رضي الله عنه Ne Is Kaam Ki Fikr Me Khana Peena Chor'diya Toh Rasool Allah ﷺ Ne Inhey Bulakar Pucha Aye Muhammed Bin Muslima Kya 'Tumne Khana Peena Tark Kar Diya Hai? Unhone Arz Kiya, Ya Rasool Allah ﷺ Maine Aap Ke Saath Jo Waada Kiya Hai Iskey Qabil Hoon Ya Nahi Aap ﷺ Ne Farmaya Tum Per Sirf Koshish Karna Farz Hai,*


*Jis Raat Kaab Bin Ashraf Ko Qatl Kiya Gaya RASOOL ALLAH ﷺ Is Raat Halat e Qiyaam Me Rahe Aur Namaz Ada Farmate Rahe Subah Jab Aap ﷺ Ne Naare Takbeer Ki Sada'ye Suni Ki Kaab Al Ashraf Ko Qatl Kar'diya Gaya Hai. Aur Wo Log Jab Wapas Pahuche To Unhone Huzoor ﷺ Ko Masjid e Nabawi Ke Darwaze Par Jalwa Afrooz Paaya Aur Unhone Huzoor ﷺ Ko Kaab Bin Ashraf Ke Qatl Me Kamyabi Ki Khush'khabri Sunai.*


Reference Book

*Sahih Bukhari* [Published *Dar al-Rashd Saudi*

Page *549* Hadees *4037*

*Scan Page*

📙📄👇🏻


No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Ghaib Aur Hazrat Isa* 𝐻𝑎𝑧𝑟𝑎𝑡 𝐼𝑚𝑎𝑚 *𝐴𝑏𝑢 𝐹𝑎𝑟𝑎𝑗 𝐼𝑏𝑛 𝑎𝑙-𝐽𝑎𝑤𝑧𝑖* Al Mutawaffah *597* Hijri Likhte ...