*Allah Ka Har Sacha Wali Apni Qabr Me Zinda Hain*
_Hazrat Imam *Ibn e Jawzi* Al Mutawaffah *597* Hijri Likhte Hain_
*Hazrat Ahmad Bin Mansur Al Shirazi Al Mutawaffah 382 Hijri Farmate Hain Mene Apne Ustad Hazrat Shaykh Abu Yaqoob al Nahr'jawri Al Mutawaffah 330 Hijri Ko Ye Farmate Hue Suna Ki Ek Martaba Mera Ek Student Mere Paas Makkah Shareef Aaya Aur Mujhse Kehne Laga Ya Shaykh Kal Zohr Ki Namaz Ke Baad Me Wisaal Kar Jaonga Aap Ye Chand Dirham Le Lijiye Inse Qabr Khodne Wale Ko Paise Ada Kar Dena Aur Baqi Dirham Ki Khushbo Mangwa Lene Aur Mujhe Mere Inhi Kapdo Me Dafan Kar Dena Ye Bilkul Paak Saaf Hai Uski Ye Baat Sunkar Me Samjha Ki Kya Pta Bhook Ki Wajeh Se Iski Ye Halat Ho Gai Hai Mujhe Uski Baato Par Tajjub Bhi Ho Raha Tha Khair Dusre Din Namaz e Zohr Ka Waqt Hua To Usne Namaz Ada Ki Aur Kabe 🕋 Ko Dekhne Laga Aur Dekhte Hi Dekhte Wo Zameen Paf Ghir Pada Me Baagh Kar Uske Paas Gaya To Dekha Ki Wo Wisaal Kar Chuka Hai Ye Dekh Kar Mene Apne Dil Me Kaha Ya Allah To Be'niyaz Hai Jise Chahe Jo Maqam Ata Kare Wo Zaat Paak Hai Jisne Mere Student Ko Ye Shan Ata Ki Hai Ke Mawt Se Pehle Usko Ilm Ho Gaya Aur Aisa ilm Mere Paas Nahi Hanlake Me Uska Ustad Hon Mujhe Apne Student Ke Wisaal Ka Bahut Gham Hua Phir Jab Humne Usay Takht Par Litaya Aur Ghusl Dena Shuro Kiya Jab Mene Usay Wuzu Karaya To Achanak Usne Apni Aankhe Khol Di Ye Dekh Kat Me Bada Hayran Hua Aur Usse Pucha Aye Mere Bete Kya Tu Marne Ke Baad Dubara Zinda Ho Gaya Usne Badi Umda Zaban Me Jawab Diya Ya Shaykh Me Mawt (Death) Ke Baad Zinda Ho Gaya Hon Aur Mawt Ke Baad Apne Qabr (Mazar) Me Allah Ta'ala Ka Har Wali Zinda Hai*
Subhan'Allah
Reference Book
*Uyoon ul-Hikayat*
Safa *180*
*Scan Page*
📗📄👇🏼
No comments:
Post a Comment
Don't comment any spam link in comment box