Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Sunday, September 6, 2020

Yazeed Aur Yazdiyat Ko Allah Jahennam Me Phiglayega

*Yazeed Aur Yazdiyat Ko Allah Jahennam Me Phiglayega*

_Hazrat Imam *Muslim* Bin Hajjaj Al Mutawaffah *261* Hijri Hadith Code Karte_

_Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ke, Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya:_ *Jo Shakhs Is Shehre Madinah Walo Ke Sath Burayi (Ghalat) Karne Ka Irada Karega Allah ﷻ Usse Dozakh Mein Iss Tarah Phiglayega Jaisa Ke Namak Pani Mein Ghul Jata Hai.”*

_Yani Jo Madinah Shareef Walon Ke Saath Kuch Ghalat Karne Ka Irada Karega Uska Ye Anjaam Hai To Socho_ *Yazeed Aur Yazidiyo Ne Madinah Shareef Walon Ke Saath Kya Kya Zulm o Sitam Kiya Aaiye* Hum Wahabiyon Ahle'hageeso Deobandiyo Saudi Najdiyo Ke Hafiz *Ibn Kaseer* Kya Likhta Hai

*Karbala Me Zulm o Sitam Karne Ke Baad Yazeed لعنة الله عليه Ne Muslim Bin Uqba لعنة الله عليه Ko Apna Ek Lashkar Dekar Madina Shareef Par Hamla Karne Ka Hukm Diya Aur Kaha Ki 3 Din Tak Madina Tumpar Halal Hai Jo Chaho Karo Madina Walo Ke Saath Musalmano Ka Maal Lota Aurto Ki Izzat Loti Bacho Ko Qatl Kiya Yazeed لعنة الله عليه Ne Madinah Par Wo Zulm e Azeem Kiya Jiska Bayan Karna Mushkil Hai Allah Yazeed لعنة الله عليه Par Lanat Kare Aur Akhir Allah Ne Use Apne Azab Me Mubtila Kiya*
Ref: Al Bidaya wan Nihaya
Jild *11* Page *627*

*Reference Book*
Sahih Muslim
Vol *3* Hadees *3358-&-3359*
*Scan Page*
📗📄👇🏼

No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Ghaib Aur Hazrat Isa* 𝐻𝑎𝑧𝑟𝑎𝑡 𝐼𝑚𝑎𝑚 *𝐴𝑏𝑢 𝐹𝑎𝑟𝑎𝑗 𝐼𝑏𝑛 𝑎𝑙-𝐽𝑎𝑤𝑧𝑖* Al Mutawaffah *597* Hijri Likhte ...