Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Thursday, August 6, 2020

Allah Ta'ala Ke Auliya Gaib Bhi Jante Aur Dil Me Kya Hai Wo Bhi by Ghous e Azam

*Allah Ta'ala Ke Auliya Gaib Bhi Jante Aur Dil Me Kya Hai Wo Bhi*

Hazrat Shaykh Abdul Qadir Jilani Baghdadi Al Mutawaffah *561* Hijri Likhte Hain *(Ghaus e Azam)* رحمۃ اللہ علیہ Likhte Hain

_Hazrat Abu Musa Tubayli Kehte Hai Ke Me Hazrat Shaykh Abdur Rehman Bin Yahya Ke Paas Gaya Aur Unse *Tawaqqul* Ke Bare Me Sawal Kiya To Unhone Mujhe Is Sawal Ka Jawab Diya Ke *Tawaqqul* Ye Hai Ke Tera Haath Kisi Bahut Bade Ajdahe Ke Muh Me Ghatto Tak Chala Jaye To Tu Is Halat Me Bhi Allah ﷻ Ke Siwa Kisi Aur Se Na Dar Tere Dil Me Allah ﷻ Ka Hi Dar Ho Allah ﷻ Ke Siwa Kisi Ka Dar Na Ho Ye *Tawaqqul* Hai. Phir Wo Iska Jawab Pa Kar Chale Gaye_

*Phir Hazrat Abu Musa Tubayli Farmate Hai Phir Me Kai Arse Ke Baad Hazrat Shaykh Bayuzeed Bustami Al Mutawaffah 261 Hijri Ki Bargah Me Tubail Se Bustam Gaya Taki Me Bhi Unse Tawaqqul Ke Bare Me Pucho Phir Jab Me Bustam Me Dakhil Hua Aur Me Hazrat Bayuzeed Bustami Ke Ghar Ka Darwaza खटखटाया (Knocked) To Hazrat Bayuzeed Bustami Ne Mujhse Farmaya Aye Abu Musa Kya Tujhe Abdur Rehman Bin Yahya Ke Jawab Par Bharosa (itminan) Nahi Hai? Kal Tune Unse Tawaqqul Ke Bare Me Sawal Kiya Tha Aur Aaj Tu Mujhe Tawaqqul Ke Bare Me Sawal Karne Ke Liye Aa Gaya? To Mene Kaha Ya Sayyidi Darwaza Khoole To Hazrat Shaykh Bustami Ne Farmaya Agar Tu Hamari Ziyarat Ke Liye Aaya Hota To Me Darwaza Kholta Darwaze Ke Bahar Se Jawab Le Aur Chala Ja Abu Musa Kehte Hai Me Phir Dubara Gaya Tu Hazrat Shaykh Bustami Ne Farmaya Sun Tawaqqul Isko Kehte Hai Ki Ek Bahut Bada Ajdaha Aasman Se Latak Raha Ho Aur Wo Irada Kare Tujhe Nuksan Pahuchane Ka Tujhe Dasne Ka To Tu Allah ﷻ Ke Siwa Kisi Aur Ka Dar Tere Dil Me Na Ho Abu Musa Farmate Hai Phir Me Wapas Dubail Paucha Aur Ek Saal Me Tubail Me Hi Raha Aur Ek Saal Ke Baad Phir Mene Irada Kiya Ke Is Bar Me Hazrat Shaykh Bustami Ki Ziyarat Ke Liye Jaoga Aur Jab Me Gaya To Hazrat Shaykh Bustami Ne Farmaya Ab Tu Hamari Ziyarat Ke Liye Aaya Hai Khusham'did Dakhil Ho Jao Phir Me Ek Mahina Aapki Bargah Me Raha Aur Ek Mahina Mene Hazrat Shaykh Bustami Ki Karamaat Aur Apka Ruhani Ta'sarruf Aur Aapki Nighahe Wilayat Ka Makam Dekha Abu Musa Farmate Hai Mere Sawal Karne Se Pehle Jo Baat Mere Dil Me Aati Thi To Sayyidina Bayuzeed Bustami Mere Sawal Karne Se Pehle Hi Uska Jawab Ata Farma Dete Thay*
Subhan'Allah

_Yani Hazrat Bustami Dusre Shahar Me Aur Abu Musa Aur Abdul Rehman Dusre Shahar Me Abu Musa Ne Abdul Rehman Se Kya Sawal Kiya Aur Unhone Kya Jawab Diya Ye Sirf Un Dono Ko Hi Pta Lekin Hazrat Bustami ilm e Gaib Ki Wo Jante Thay Aur Jab Abu Musa Hazrat Bustami Ke Paas Aaye To Abhi Wo Darwaze Ke Bahar Hi Thay Ke Hazrat Bustami Ko Pehle Se Hi Pta Tha Ke Bahar Abu Musa Hai Jo Tawaqqul Ke Bare Me Abdul Rehman Se Sawal Kar Chuke Hai Aur Wo Uska Jawab Bhi De Chuke Hai Lekin Ab Abu Musa Mujhse Sawal Karne Aaye Hai_ *Ye Shan Hai Jab Unke Gulam Ke ilm Ki To Unke Aaqa o Maula ﷺ Ke ilm Ka Alam Kiya Hoga*

*Reference Book*
Ghunyat tut-Talibeen
Vol *2* Page *319*
*Scan Page*
📗📄👇🏼

No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna* ¹ Hazrat Imam *Na'eem Bin Hammad* Bin Muawiya Al Mutawaffah *228* Hijri & ² Hazrat Ima...