Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Wednesday, August 19, 2020

Agar Mere baad Koi Nabi Hota To Wo Umar ibn Khattab Hote Is Hadees Ki Tehqeeq e Jayza AUR Shiyo Ke Aitraaz Ke Jawab

*_Agar Mere baad Koi Nabi Hota To Wo Umar ibn Khattab Hote Is Hadees Ki Tehqeeq e Jayza AUR Shiyo Ke Aitraaz Ke Jawab_*

*HADEES*

‎عَنْ عُقْبَةَ بْنِ عَامِرٍ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «لَوْ كَانَ نَبِيٌّ بَعْدِي لَكَانَ عُمَرَ بْنَ الخَطَّابِ»

Hazrat Uqba ibn Aamir Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai k Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم  ne farmaya
"Agar Mere baad Koi Nabi Hota To Wo Umar ibn Khattab Hote”

{Jamai Tirmizi, Vol : 05 , Kitabul Manakib, Hadees : 3686}

1.Imam Tirmizi rehmatullahi Farmatey Hain Yeh Hadees “HASSAN GAREEB” Hain

2.Nasiruddin Albani Ne Bhi Is Hadees Ko “HASSAN” Kaha Hain

{Sunan Al Tirmizi Jild 01, Safa 836, Hadees 3686}

3.Nasiruddin Albani Apne Dusri Kitaab “Silsalat al-Hadith as-Sahih Mein Bhi Is Hadees Ko
“HASSAN” Kaha Hain AUR Iske Tamam Raavi Siqah Hain

{Silsalat al-Hadith as-Sahihah Jild o1, Safa 646}

4.Imam Ibne Hatim rehmatullahi Ne Is Hadees Ko Sahih Kaha AUR Iske Sanad Ko Bhi

{Al-Mustadrak-Alsahiheen Jild 03, Safa 97 Hadees number 4556}

5.Is Hadees Ko Imam Ahmed Bin Hambal rehmatullahi Ne Iske Sanad Ko “HASSAN” Kaha Hain

Aur Aage Likhte Hain Imam Tirmizi  Hassan Kaha Aur Imam Hakim AUR Imam Zehbi rehmatullahi Ne Sahih Kaha Hai

{Musnad 'Ahmad with the 'Ahkaam Shuaib Al Arna'ut Jild 28, Safa 624 Hadees 17,405}

*Shiyo Ka Aitraaz*

Is Hadees Mein Raavi Mishr Bin Han Hain
Uske Bare Mein
Imam Ibne Hajar Asqalani rehmatullahi Ne Imam Ibne Hibban rehmatullahi Ke Hawale Se Likha Hain 

*Mishr Bin Han Yeh*
*Uqba Bin Amir Se*

MUNKAR Riwayaat Bayan Karta Hain AUR Jab Yeh Munfarid Ho Toh Uski Riwayaat Qabile Qabool Nahi Hain
Aur Imam Ibne Hajar Asqalni ne yeh Bhi Kaha Hain Ke Iski Riwayaat Lene Mein Koi Harj Nahi

{Tahdhib al-Tahdhib Jild 10, safa 155}

*Jawab👇*

*Halanke Mishr Bin Han Yeh Riwayaat Bayan Karne Mein Munfarid Nahi Hain*

Majma al-Zawa'id Mein Do Riwayaat Naqal Ki Hain Imam Haythmi rehmatullahi Ne
1.Asma Radiallahu Se
2.Abu Saeed Kudri Radiallahu Se

Agarche Tirmizi Ki Hadees Zaeef Hai Magar Bataure Shwaheed(Supporting) Ke Bayan Kar Sakte Hain Isliye Ke
Is Riwayaat Ke Raavi Uqba Bin Amir Nahi Hain Balke Asma Radiallahu AUR Abu Saeed Qudri Radiallahu Bhi Hain

*Sabit Hua Is Riwayaat Mein Mishr Bin Han Munfarid Nahi Hain*

{Majma al-Zawa'id Jild 09, safa 42 Hadees 14433-14434 Imam Nur al-Din al-Haythami}

*Aur MUHADEES Ne Mishr Bin Han Ko Siqah Wa Tabeen Qarar Diya Hain*

{Imam Saleh Al-Ajali 'Tareekh e Siqahat" Jild 01, Safa 429}

*Shiyo Ka Aitraaz {2}*

Shia Ka Yeh Bhi Aitraaz Hain Ke
Is Hadees Ko Imam Jauzi rehmatullahi Ne “Al Mawdu’at” Mein Zikar Kiya Hain

*Jawab👇*

Imam Ibne Jauzi rehmatullahi Jin Do Raavi Ke Buniyad Par Is Riwayaat Par Jarrah Ki Hain 

*Zakariya Bin Yahya*
*Abdullah Bin Waqid*

Magar Yeh Do Raavi HAMARE Pesh Karde Riwayaat Mein Maujd Nahi Hain

Al Mustradk Se
Al Musnad Se
Sunan Tirmizi Se

Yeh Bhi Faltu Aitraaz Hain

{Al-Mawdu`at Jild 01, safa 320-321 Imam Abu Faraj Ibn al-Jawzi}

*Shiyo Ka Aitraaz {3}*

DUSRA Aitraaz Yeh Karte Hain Ke
Imam Ibne Qudamah Al Maqdisi Se Pesh Karte Hain Ke Imam Ahmed Bin Hambal Ne Is Riwayaat Ko MUNKAR Kaha Hain

*Jawab👇*

Yaha Imam Ibne Qudamah Al Maqdisi Se Riwayaat Karne Wala Raavi 👤 Ibrahim Bin Haris Jo Imam Ahmed Bin Hambal Se Riwayaat Karta Hain

*Ibrahim Bin Haris Ki Wisal 241 ya 250 Mein Hui* Aur Imam Ibne Qudamah Al Maqdisi Ki Paidaish 620 Hijri

250 Mein Wafat Hone Wala Raavi Bayan Kar Raha Hain 620 Hijri Mein Paida Hone Wale Raavi Se
Dono Ke Beech 370 Saal Ka Faasla Hain
Beech KE Raavi Kaha Gaye?🤷🏻‍♂️
Yeh Riwayaat Munqate Hain

{Al-Mukhtab Min Al-Ilal Al-Khalal Jild 01, safa 190}
















No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna* ¹ Hazrat Imam *Na'eem Bin Hammad* Bin Muawiya Al Mutawaffah *228* Hijri & ² Hazrat Ima...