Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Friday, July 31, 2020

Ikhtiyar e Mustafa ﷺ Aur Qurbani

*Ikhtiyar e Mustafa ﷺ Aur Qurbani*

*6 Mah Ke Bakri Ke Bach'che Ki Qurbani Nahi Hoti Hai Lekin Mere Aaqa ﷺ Ka Ikhtiyar Dekhe*

_Hazrat Bara'a Ibn e Azib رضي الله عنه Se Riwayat Hai Rasool Allah ﷺ Eid uz Azha Ki Namaz Ke Baad Khutba Dete Hue Irshad Farmaya Ke Jis Shakhs Ne Hamari Namaz Ki Jaisi Namaz Padhi Aur Hamari Qurbani Ki Tarah Qurbani Ki To Uski Qurbani Sahi Hui Lekin Jo Shakhs Namaz Se Pehle Hi Qurbani Kare Aur Namaz Se Pehle Hi Ghost Khata Hai Magar Wo Uski Qurbani Nahi Hui Hazrat Bara'a Ke Mamu Hazrat Abu Burda Ye Sunkar Bole Ya Rasool Allah ﷺ Mene To Apni Bakri Ki Qurbani Namaz Se Pehle Kardi Aur Namaz Se Pehle Hi Uska Ghost Bhi Khaa Liya To Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya To Wo Tumhari Qurbani Nahi Hui *To Abu Burda Ne Arz Kiya Ya Rasool Allah ﷺ Mere Paas Ek Palaa Hua 6 Maah Ka Bakri Ka Bacha Hai Kya Uski Qurbani Kar Du To Ho Jayegi?* To Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya Iski Qurbani Karlo. Par Lekin Ye Ijazat Sirf Tumhare Liye Hai..._ *Tumhare Alawa Kisi Aur Ke Liye 6 Maah Ka Bakri Ka Bacha Kaafi Nahi Hai.*

*Pay Attention*
_Yani Shariyat Me 6 Maah Ke Bakri Ke Bach'chay Ki Qurbani Kisi Ke Liye Jais Nahi Aur Agar Koi Kare To Wo Qurbani Bekar Hui But Huzoor ﷺ Ka Ikhtiyar e Qul Dekho Ki Huzoor ﷺ Ek Sahabi Ko 6 Maah Ke Bakri Ke Bach'chay Ki Qurbani Jais Karar De Diya_ *Aur Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Dekho Ke Aap Maloom Tha Ke Wo Sahabi Qurbani Namaz Se Pehle Kar Chuke Aur Uska Ghost Bhi Kha Chuke Hai Isi Liye Khutbe Me Aisa Farmaya Tha*

*Reference Book*
Sahih Bukhari
Vol *2* Hadees *955*
*Scan Page*
📗📄👇🏼

No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna* ¹ Hazrat Imam *Na'eem Bin Hammad* Bin Muawiya Al Mutawaffah *228* Hijri & ² Hazrat Ima...