Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Friday, July 31, 2020

Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Ta‘if Me Qabr

*Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Ta‘if Me Qabr*

_Hazrat Abdullah Bin Amrr رضي الله عنه Se Riwayat Hai Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya_ *Jab Hum Taif Ke Safar Par Rawana Hue Aur Ek Jagah Se Ek Qabr Ke Paas Se Ghuzray To Nabi Kareem ﷺ Ne Farmaya Yeh Abu Righaal Ki Qabr Hai Aur Ye Qaum e Samood Ka Shakhs Tha Is Haram Me Tha'hayrta Tha Ki Allah ﷻ Ke Azab Se Bacha Rahe Jab Wah Apne Haram Se Bahar Nikla To Use Is Jagah Par Azab Aaya Jo Ke Uski Qaum Par Aaya Tha Chunan'chay Isi Jagah Par Dafan Kar Diya Gaya Aur Uske Saath Ek Sone (Gold) Ki छड़ी (Rod) Dafan Ki Gai Thi Agar Tum Uski Qabr Ukhado To Us Sone Ko Uske Saath Pa Loge To Ispar Logo Ne Jaldi Se Uski Qabr Khodkar Wo Sone Ki Rod Nikaal Li*
Allahu'akbar'kabira

_Zara Socho Qaum e Samood Huzoor ﷺ Ke Duniya Me Tashreef Lane Se Hazaro Saal Pehle Thi_ *Lekin Qurban Aaqa ﷺ Ke Ilm e Gaib Par Ke Ye Kiski Qabr Hai Aur Ye Kis Qaum Se Tha Aur Kaise Mara Aur Kis Jagah Par Mara Aur Kaha Par Dafan Kiya Aur Uske Saath Kya Dafan Hua* Sab Kuch Huzoor ﷺ Ne Bata Diya

*Reference Book*
Sunan Abu Dawud *[Publisher: Dar Al-Taaseel Egypt]*
Vol *5* Hadees *3077*
*Scan Page*
📗📄👇🏼

No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna* ¹ Hazrat Imam *Na'eem Bin Hammad* Bin Muawiya Al Mutawaffah *228* Hijri & ² Hazrat Ima...