Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Wednesday, July 15, 2020

Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Egypt

*Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Egypt*

_Hazrat Imam *Muslim* Al Mutawaffah *261* Hijri Likhte Hain_

_Hazrat Abu Zar رضي الله عنه Se Riwayat Hai Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya_ *Ki Tum Log Misr (Egypt) Ko Fatah Karoge Ye Ek Aaisi Zameen Hai Jahan Kiraat Raij Hai To Jab Tum Misr Fatah Karo To Wahan Ke Logo Ke Saath Accha Sulook Karna Kyunke Inka Haq Hai Aur Rishtay Dari Hai To Jab Tum Ye Dekho Ki Wahan 2 Aadmi Ek Eeent Ki Jagah Ke Liye Jhagda Kar Rahe Hai To Tum Wahan Se Chale Aana.*
Hazrat Abu Zar رضي الله عنه Kehte Hain *Maine Dekha Ki Rabi'ah Aur Abdul Rehman Bin Sharjeel Ek Eeent Jagah Ke Liye Jhagda Kar Rahe Hai To Maine Misr Chordiya*

_Yani *20 Hijri* Me Jo Desh Fatah Hona Hai Uske Bare Me Huzoor ﷺ Ne Hazaro Saal Pehle Hi Sahaba Ko Bata Diya Aur Saath Ye Bhi Ke Waha 2 Admi Kis Chiz Ke Liye Lade Ge_

*Reference Book*
Sahih Muslim
Vol *6* Hadees *6493*
*Scan Page*
📄📗👇🏼

No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Ghaib Aur Hazrat Isa* 𝐻𝑎𝑧𝑟𝑎𝑡 𝐼𝑚𝑎𝑚 *𝐴𝑏𝑢 𝐹𝑎𝑟𝑎𝑗 𝐼𝑏𝑛 𝑎𝑙-𝐽𝑎𝑤𝑧𝑖* Al Mutawaffah *597* Hijri Likhte ...