Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Sunday, June 21, 2020

Huzoor ﷺ Ka Farman Abu Sufiyan Mera Bhai Hai

*Huzoor ﷺ Ka Farman Abu Sufiyan Mera Bhai Hai*

*Hazrat Imam Hakim Al Nayshapuri Al Mutawaffah 405 Hijri Likhte Hain*

_Hazrat Muhammad Bin Umar رضي الله عنه Ne Abu Sufiyan رضي الله عنه Ka Naam Kyun Zikr Kiya Hai_ *Hazrat Abu Sufiyan Haris Bin Abdul Muttalib Bin Hashim رضي الله عنه Ye Rasool Allah ﷺ Razai Bhai Hai Aur Chacha Zaat Bhai Bhi Hai Hazrat Dai Halima رضي الله عنها Ne Kai Din Unko Doodh Pilaya Hai Ye Rasool Allah ﷺ Se Bahut Pyar Karte Thay Lekin Jab Rasool Allah ﷺ Ne Elan e Nabuwat Farmaya To Ye Bahut Sakht Dushmani Karne Lage 20 Saal Tak Ye Musalsal Rasool Allah ﷺ Se Dushmani Karte Rahe Jab Bhi Quresh Ne Rasool Allah ﷺ Ke Khilaf Jang Ki To Ye Usme Shamil Hote Rahe Phir Fateh Makkah Ke Mawqe Par Rasool Allah ﷺ Ki Makkah Me Aane Ki Khabar Mili To Unke Dil Me Islam Ki Bayt Daal Di Chunan'chay Huzoor ﷺ Ke Makkah Aane Se Pehle Ye Apne Bete Jafar Ko Saath Le Gaye Aur Maqam e Abba Par Jakar Rasool Allah ﷺ Se Mile Aur Islam Qubool Kar Liya Phir Rasool Allah ﷺ Ke Saath Makkah Ki Janib Rawana Hue Aur Fateh Makkah Aur Jang e Hunain Me Shareek Hue Hazrat Abu Sufiyan رضي الله عنه Kehte Hai Jab Jang e Hunain Me Hamari Dushman Se Muth'bhed Hui To Me Apne Ghode Ko Haqeer Jante Hue Usse Niche Utar Aaya Khuda Ki Kasam Me Maut Ka Irada Kiye Hue Tha Jabke Nabi Kareem ﷺ Mujhe Dekh Rahe Thay Hazrat Abbas رضي الله عنه Ne Kaha Ya Rasool Allah ﷺ Ye Aapka Razai Bhai Aur Chacha Zaat Bhai Abu Sufiyan Bin Haris Hai Aap ﷺ Isse Raazi Ho Jaye To Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya Allah ﷻ Iske Wo Tamam Dushmani Maaf Farmaye Jo Aajtak Inhone Mere Saath Ki Hai Phir Aap ﷺ Hazrat Abu Sufiyan رضي الله عنه Ki Janib Mutawajjeh Hue Aur Irshad Farmaya Meri Omr Ki Kasam Ye Mera Bhai Hai Phir Hazrat Abu Sufiyan Ne Raqab Me Rasool Allah ﷺ Ke Qadmo Ka Bosa Liya Hazrat Abu Sufiyan رضي الله عنه Ne Apne Bhai Hazrat Naufil Bin Haris رضي الله عنه Ke Wisaal Ke 4 Mahine Aur 13 Din Baad Madina Shareef Me Wafaat Pa Gaye Ye Bhi Kaha Jata Hai Ke 20 Hijri Me Faut Hue Hazrat Umar رضي الله عنه Ne Unki Namaz Janaza Padhai Aur Jannat ul Baqi Me Dar al Aqeel Bin Abi Talib Me Dafan Hue Aur Unka Roza (Qubba) Banaya Gaya Yahi Wo Sahabi Hai Jinhone Wafaat Ke 3 Din Pehle Khudi Apne Liye Qabr Khood Li Thi*
Subhan'Allah

*Reference Book*
Al Mustadrak Ala Sahihain *[Arabic to Indonesian Translation]*
Vol *7* Raqam *5108*
*Scan Page*
📗📄👇🏼

No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna* ¹ Hazrat Imam *Na'eem Bin Hammad* Bin Muawiya Al Mutawaffah *228* Hijri & ² Hazrat Ima...