Is Hadees Me Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه Ne Hazrat Ali رضي الله عنه Par Sab Yani Tanqeed Karne Ko Nahi Kaha Balke Sab Daryaft Kiya Hai Chunan'chay*
_Hazrat Imam *Nawawi* Al Mutawaffah *676* Hijri_ *Sharah Sahih Muslim* Is Riwayat Ke Bare Me Likhte Hain
*Ke Aima (Imamo) Ne Kaha Hai Ki Is Kism Ki Hadees Ki Taveel Karna Wajib Hai Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه Ke Is Qawl Me Tashrih Nahi Hai Ke Unhone Hazrat Saad Bin Abi Waqqas رضي الله عنه Ko Hazrat Ali رضي الله عنه Ko Bura Kehne Ka Hukm Diya Tha Balke Unse Bura Na Kehne Ka Sabab (Reason) Pucha Tha Aye Saad Tum Unko Takwa Aur Parhez Ghari Ki Wajeh Se Bura Nahi Kehte Ya Uska Koi Aur Sabab (Reason) Hai Agar Tum Unko Takwa Parhez Ghari Ki Wajeh Se Bura Nahi Kehte To Haq Par Ho Aur Tumhara Nazariya Sahi Hai Aur Agar Uska Koi Aur Sabab Hai To Usko Byan Karo? Ghaliban Hazrat Saad رضي الله عنه Ka Talluk Us Jamat Giroh Se Tha Jo Hazrat Ali رضي الله عنه Ko Bura Kehte Thay (Maaz'Allah) Uske Bawjudh Hazrat Ali رضي الله عنه Ko Bura Nahi Kehte Thay Is Wajah Se Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه Ne Ye Sawal Kiya.*
Is Hadith Ki Dusri Taveel Ye Hai Ke *Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه Ne Hazrat Saad رضي الله عنه Se Ye Pucha Ke Kya Wajeh Hai Ki Tum Hazrat Ali رضي الله عنه Ki Raye Ko Khata Nahi Kehte Aur Logo Se Nahi Kehte Kya Hamari Raye Aur Ijtihaad Sahi Hai Aur Hazrat Ali رضي الله عنه Ki Raye Aur Ijtihaad Galat Hai*
*Ek Aur Maqsad Jo Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه Ka Tha Wo Ye Tha Ke Wo Hazrat Ali رضي الله عنه Ke Manaqib (Shan) Hazrat Saad رضي الله عنه Se Sunna Chahte Thay Jo Ke Hazrat Saad رضي الله عنه Ne Isi Riwayat Me Bayan Kar Diye Ye Is Wajeh Se Ke Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه Ne Kuch Logo Ko Suna Ke Wo Hazrat Ali رضي الله عنه Ki Bad'ghoi Karte Hai Isi Liye Unhone Ne Chaha Ke Hazrat Saad رضي الله عنه Ki Zuban Se Hazrat Ali رضي الله عنه Ki Fazilat Ka Izhar Kara Kar Unhe Is Fel Se Baaz Rakhe Yahi Wajeh Hai Ke Imam Muslim Ne Is Riwayat Ko Baab (Chapter) Manaqib e Ali Bin Abi Talib رضي الله عنه Me Bayan Kiya Hai*
Khulasa Ye Hua Ke *Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه Ka Mansha (Maqsad) Ye Tha Ke Hazrat Saad رضي الله عنه Hazrat Ali رضي الله عنه Ke Manaqib Bayan Kare Aur Hazrat Ali رضي الله عنه Ko Bura Kehne Wale Log Sune Aur Aage Se Unko Bura Kehne Se Baaz Rahe Is Liye Jab Hazrat Saad رضي الله عنه Ne Hazrat Ali رضي الله عنه Ke Fazail Bayan Kiye To Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه Khamoosh Rahe Agar Bura Kehna Maqsad Hota To Jab Hazrat Saad رضي الله عنه Ne Be'zari Zahir Farmai To Khud Koi Na Koi Baatein Bana Kar Hazrat Ali رضي الله عنه Ki Tanqees Kar Dalte Kam Se Kam Hazrat Saad رضي الله عنه Ki Bayan Karda Fazilato Se Izhar e Nafrat Farmate Na Ki Hazrat Ali رضي الله عنه Ki Shan Fazilat Sunte*
*Reference Book*
Sharah Sahih Muslim
Page *1470* & *175*
*Scan Page*
📗📄👇🏼
Imam *Muslim* Al Mutawaffah *261* Hijri Aur Imam *Tirmizi* Al Mutawaffah *279* Hijri
*Is Riwayat Ko Hazrat Ali رضي الله عنه Ke Manaqib (Virtues) Shan Me Lekar Aaye Hain Agar Maaz'Allah Ye Unki Burai Hoti To Wo Is Riwayat Ko Manaqib Me Lekar Nahi Aate Kiya Itne Bade Muhaddisin Ko Nahi Pta Ki Ye Hazrat Ali رضي الله عنه Ki Burai Hai Aur Kisi Ki Burai Ko Manaqib Me Nahi Bayan Kiya Jata?*
_Imam Muslim Aur Imam Tirmizi Isko Maula Ke Manaqib Ke Chapter Me Isi Liye Laye Ki Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه Hazrat Ali رضي الله عنه Ki Shan Azmat Sunna Chahte Thay Aur Logo Me Unki Azmat Bayan Ho Sake_
*References Books*
Sahih Muslim
Vol *6* Page *263*
*&*
Jame Tirmizi
Vol *6* Page *395*
📗📄👇🏼
No comments:
Post a Comment
Don't comment any spam link in comment box