Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Thursday, April 16, 2020

Za'eef Hadees Par Amal Karna*

*Za'eef Hadees Par Amal Karna*

_Hazrat Suyuti Al Mutawaffah *911* رحمۃ اللہ علیہ Likhte Hain_
*Baz Muhaddiseen Farmate Hain Ki Za'eef Hadees Par Sehat (Sahi Hone) Ka Hukm Laga Diya Jayega, Jab Ummat Ne Ise Qubool Kar Liya Ho Bhale Hi iski Sanad Sahi Na Bhi Ho*

_Phir Aagay Likhte Hain Hazrat Imam Ibn Abdul Bar Al Mutawaffah *463* Hijri Apni Kitab“Al Astazkar” Me Ye Baat Hazrat Imam Abu Isa Tirmizi Al Mutawaffah *279* Hijri Se Naqal Karte Hue Farmate Hain_
*Ki Hazrat Imam Bukhari Al Mutawaffah 256 Hijri Is Hadees Al Bahar “Huwat Tahuru Maa’uhu” Ko Sahi Kehte Hain Halanki Muhaddiseen is Jaisi Sanad Wali Hadees Ko Sahi Nahi Kehte Lekin Hadees Mere Nasdik Sahi Hai Kyunki Ulama Me Isko Talaqqi Bil Qubool Hasil Hai*

_Yani Agar Kisi Hadees Ki Sehet *(Narration)* Ka Raawi Zaeef Hai Agar Wo Hadees Fazail A’amal Dua Azkar Targheeb Wagera Me Ho Aur Ummat Ka Uspar Amal Ho To Wo Za'eef Hadees Muhadditho Ke Nasdik Sahi Ho Jati Hai Uspar Amal Kiya Jayega_

*Reference Book*
Tadreeb ul Raawi
Page *29*
*Scan Page*
📗📄👇🏼

No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna* ¹ Hazrat Imam *Na'eem Bin Hammad* Bin Muawiya Al Mutawaffah *228* Hijri & ² Hazrat Ima...