Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Tuesday, March 31, 2020

Sahaba Musibat Preshani Ke Waqt Me Kya Karte Thay❓*

*Sahaba Musibat Preshani Ke Waqt Me Kya Karte Thay❓*

_Aap Jante Hi Honge Ki Corona Virus Ke Dar Se Naam Nihad Apne Aapko Tauhid Ka Thekedar Samjhne Wale Saudi Najdi Wahabi Madine Shareef Se Bhag Rahe Hai Aur Masjid e Nabawi Huzoor ﷺ Ke Roze Ko Bhi Bandh Kar Diya Hai_ *Maaz'Allah*

*Imam Bukhari Ke Ustad (Teacher) Hazrat Imam Abu Bakr Ibn e Abi Shaybah Al Mutawaffah 235 Hijri Hadith Code Karte Hai*

_Hazrat Malik Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Umar Bin Khattab رضي الله عنه Ke Zamaana Me Log Qaht Saali (Sokha) Me Mubtala Ho Gaye To Ek Sahaabi Hazrat Bilal Bin Haris رضي الله عنه Huzoor ﷺ Ke Roze Mubarak Qabre Aqdas Par Haazir Huwe Aur Arz Kiya :_
*Ya Rasool Allah! ﷺ Aap Allah ﷻ Se Apni Ummat Ke Liye Seraabi Ki Du’aa Farmaye Kyun Ki Woh (Qaht Saali Ke Baa’is) Tabaah Ho Rahi Hai! To Huzoor ﷺ Khuwab Me Uss Sahabi Ke Paas Tashreef Laye Aur Farmaya* _Hazrat Umar رضي الله عنه Ke Paas Jaao Unse Mera Salaam Kaho Aur Unse Bataao Ki Tum Seraab Kiye Jaaoge Aur Hazrat Umar Se Yeh Bhi Keh Do Ki (Dushman Tumhaari Jaan Lene Ke Dar Pe Hain Unse Hoshiyaar Raho, Hoshiyaar Raho. Phir Woh Sahabi Hazrat Umar رضي الله عنه Ke Paas Aaye Aur Unhein Khabar Di To Hazrat Umar رضي الله عنه Roo Pade Aur Kaha Ya Allah! Mein Kotaahi Nahin Karta Magar Yeh Ki Koi Kaam Mere Bas Me Na Rahe.”_

*Yani Pata Chala Ki Sahaba e Karaam Ke Waqt Me Kisi Bhi Tarah Ki Koi Musibat Ya Badi Preshani Aati Thi To Wo Huzoor ﷺ Ke Roze Sonheri Jaliyon Ke Paas Jakar Fariyad Karte Madad Mangte Thay Madina Shareef Chorkar Bhagte Nahi Thay Musibat Preshani Ke Dar Se Kyunke Unka Aqeeda Tha Ki Badi Se Badi Musibat Azab Preshani Bhi Is Dar Par Haar Jati Hai*

*Refrance Book*
Al-Musannaf Abi Shaybah
 Vol *6* Hadees *32538*
*Scan Page*
📗📄👇🏼

No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

Shab-e-Qadr Aur Ummat e Muhammadia

 *Shab-e-Qadr Aur Ummat e Muhammadia* Hazrat Imam *Malik* Al Mutawaffah *179* Hijri Likhte Hain  *Jab Rasool Allah ﷺ Ko Pichli Ummato Ki Omr...