Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Monday, March 23, 2020

MERAJ UN NABI ﷺ* series

*MERAJ UN NABI ﷺ Post:01*


*MERAJ UN NABI ﷺ*

*Mozezat Seerat E Ambiya Alaihimusalam ka Bahot hi Numaya Aur Roshan Baab Hai, Inki Hakkaniat ka inkaar nahi kiya jaa sakta hai.*
*Allah عزوجل Ne Har Nabi Alaihumsalam ko koi na koi Mozeza deke bheja.*
*Pyare Nabi ﷺ Ke La Tadaad Mozeze me se ek bahot hi Munfarid Mumtaz Mozeza Hai*
*"MERAJ".*
*Jiska Zikr Quran e Karim me Rab  عزوجل ne Surah Bani Israel /Isra  aur Surah Nazm Kiya Hai*

*“Paaki Hai Usse Jo Raato Raat Apne Bande Ko Le Gaya Masjid e Haraam (Khana E Kaaba) Se Masjid e Aksa (Baitul Mukaddas) Tak*
*Jiske Ird Gird Humne Barkat Rakhi Ki Hum Usse Apni Azeem Nishaniya Dikhaye Beshak Wo Sunta Dekhta Hai”*

*(Surah Bani Israel Ayat 01)*

*Nabi E Karim ﷺ Ne Raat Ke kuch hisso me Haram Sharif se Masjid E Aqsa Baitul Muqaddas phr Saatho Aasman Arsh o Kursi se Sidratul Munteha se laa Maka phir Deedar e Allah عزوجل kiya Aur wapas Jamin par Jalwagar Huwe.*
*Subhan Allah*

Rajjab ul Murazzab ka Mahina aate hi Aashikan e Mustafa ﷺ k chehre khil jaate hai aur Ahle Sunnah Wa Jamaat ki Mazaliso me Nabi e Akram ﷺ k Meraj ka Tazkira safar e Meraj Falsafa e Meraj ka bayan hota hai Shan e Risalat pe khitabat hote hai Alhamdullilah
Par ab Musalmano me ek aisa badeen firqa na ahel kam akal logo ka aaya hai jo khud ko AHLE HADEES kehte hai jo Aqaid me Wahabi hai inke naam nihad QURAN HADEES waale muballig aisi mehfilo ka munakkid karna bhi biddat kehte hai Halanki TAZKIRA E MERAJ kisi Surat me Biddat nahi hai balki Meraj Ka Tazkira karna to khud Sunnat e Ilahiya Sunnat e Mustafa Sunnat e Sahaba hai aur unse hi buzurgan e din ne tazkira kiya aur Alhumdullilah aaj bhi ye amal jaari o saari hai.
Aur dusra is baat ko leke bhi kaafi shor o gul machaya jaata hai k MERAJ Jismani hui ya Roohani. Meraj Ki Raat me Nabi E Akram ﷺ ne Allah عزوجل  ka Deedar kiya ya nahi in tamam chiz ka jawab motebar dalilo se hum yaha saabit karenge. Yu to Meraj Un Nabi  ﷺ  pe likha jaaye to jildo me kitabe likhi jaaygi par yaha hum fakat article k taur pe kuch ahem baat likh rahe hai.

No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna* ¹ Hazrat Imam *Na'eem Bin Hammad* Bin Muawiya Al Mutawaffah *228* Hijri & ² Hazrat Ima...