Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Saturday, March 21, 2020

Didaar e Khuda* series

*Didaar e Khuda*
Part *3*

*Imam Bukhari Ke Dada Ustad* _Hazrat Imam Abdur Razzaq Al Mutawaffah *211* Hijri Likhte Hai_

_Hazrat Imam Hasan Basri Tabai Al Mutawaffah *110* Hijri رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Kehte They_ *Mai Halaf (Quran Ki Kasam) Uthata Hoon Ke Rasool Allah ﷺ Ne Allah Ko Dekha Hai*
Allahu'akbar'kabira

_Wohi Hai Awwal Wohi Hai Aakhir Wohi Hai Baatin Wohi Hai Zaahir Usi Ke Jalwe Usi Se Milne Usi Se Uski Taraf Gaye The_ ✒️ *Alahazrat*

*Reference Book*
Tafsir Abdur Razzaq
Vol *3* Raqam *2940*
*Scan Page*
📗📄👇🏼

*Meraj Aur Abu Bakr Siddiq*

_Hazrat Imam Abu Sulaiman Tabarani Birth *260* Hijri Likhte Hain_

_Hazrat Abu Hurayrah رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah ﷺ Ne Hazrat Jibraeel عليه السلام Se Farmaya_
*Aye Jibra’il ! Meri Qaum (Waqia-E-Me’raj Me) Meri Tasdiq Nahi Karegi. Hazrat Jibra’il ‘عليه السلام Ne Kaha Hazrat Abu Bakr رضي الله عنه Aap Ki Tasdiq Karenge Aur Woh Siddique Hain.”*

*Reference Book*
Al-Mu’jam-ul-Awsat
Vol *7* Hadees *7173*
*Scan Page*
📄📗👇🏼

*Ghaus e Azam Ka Aqeeda*

_Hazrat Shaykh Abdul Qadir Jilani Ghaus e Aazam رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Apna Aqeeda Likhte Hai_

*“Hum Imaan Rakhte Hai Ki Rasool e Khuda ﷺ Ne Shab e Meraj Me Apne Rab Ko Jismani Aankho Se Dekha Na Dil Ki Aankho Se Aur Na Hi Khwab Me.*
_Hazrat Jabir رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Ki Rivayat Hai Ki Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya_ *Maine Apne Rab Ko Rubaroo Dekha Isme Koi Shak o Subaha Nahi Aur Farmaya Ki Maine Usko Sidratul Muntaha Ke Pass Dekha Yaha Tak Ki Rab Ke Jalwe Ka Noor Mere Saamne Jaahir Huwa”*

_Kis Moh Se Wahabi Ahle'hagees Selfie 🤳🏿 Najdi Kehte Hai Ki Shaykh Abdul Qadir Jilani Hamare Hai_???? 

*Reference Book*
Ghunyat Talibeen [Baab Shab e Meraj Ka Bayan] Page *177*
*Scan Page*
📗👇🏼📄

*Didaar e Khuda*
Part *4*

_Hazrat Imam Ahmad Bin Hambal Al Mutawaffah *241* Hijri Likhte Hain_

_Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه Bayan Karte Hain Rasool Allah ﷺ Farmaya_ *Mene Apne Rab Allah Ko Dekha Wo Baland Aur Shan o Shawqat Wala Hai*

*Reference Book*
Musnad Ibn Hambal *[Print Saudi Najd Riyadh]*
Vol *2* Hadees *2634*
*Scan Page*
📗📄👇🏼

*Meraj un Nabi ﷺ*
Short Details

_Hijrat Se 2 Saal Pehle Makkah Mukarrama Me Nabi e Kareem ﷺ Ko Meraj Hui. Meraj Ka Dusra Naam  “ASRA”  Bhi Hai Jiska Matlab (Meaning) Raat Ko Chalana Ya Raat Ko Le Jaana Bhi Hota Hai._

*Bis’aat Ke 11 Ve Saal Hijrat Se 2 Saal Pehle 27 Rajjabul Murajjab Peer Sharif Ke Din Nabi e Kareem ﷺ Namaz e Isha Ada Karne Ke Baad Apni Cha'cha Zaat Sister Hazrat Umme Haniرضي الله عنها Ke Ghar Aaram Farma Rahe The Ki Daulat Khana e Aqdas Ki Chhat (Roof) Khuli Aur Hazrat Jibrail عليه السلام Ne Huzoor e Akram ﷺ Ko Umme Haani رضي الله عنها Ke Ghar Se Masjid e Haram Me Lake Hatim e Kaaba Me Leta Diya”*
References
(Siratun Nabi Lil Ibn Hissham Vol *2* Zikre Asra Wal Meraj, Pg *38*
(Futuhool Baari Shara e Sahi Bukhari, Vol *7* Pg 256 Hadees *3887*

*Hazrat Shaykh Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Al Mutawaffah 1052 Hijri* _Shara e Mishkat Me Likhte Hai_
*“Makkah Mukarrama Se Masjide Aqsa Tak Ka Safar ‘ISRA’ Hai Jo Qurani Aayat Se Sabit Hai Aur Iska Munkir “Kafir” Hai. Masjide Aqsa Se Sidratul Muntaha wa La'maka Tak Jaana Hadees Se Saabit Hai Iska Munkir Gumrah Aur Bad'deen Hai”*
Reference
Ashi'atul-Lamat Jild *4* Safa *526*

*_By Muhammad Zeeshan Rifai Lucknow_*

*Didaar e Khuda*
Part *5*

_Hazrat Imam Bukhari Al Mutawaffah *256* Hijri Ek Long Hadith Likhte Hain_ *Meraj Ki Talluk Se*

_Hazrat Anas Bin Malik رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ke Meraj Ki Raat Jab Rasool Allah ﷺ La'maka Pauche_ *Toh Allah Ta'ala Ke Itna Kareeb Hue Itna Kareeb Hue Jis Tarah 2 Kamane Hoti Hai Isse Bhi Zyada Allah Ta'ala Ke Rasool Allah ﷺ Kareeb Hue*

*Point Bi Noted*
_Agar Koi Kisi Ke Itna Kareeb Hota Hai To Kya Wo Usko Dekhe Ga Nahi? Bilkul Dekhe Ga Koi But Agar Koi Jab Bhi Kahe Ki Nahi Dekha To Wo Bahut Bada Duniya Ka Biggest *Pagal* Hoga_ *Lekin Aaj Aapko Aise Log Milege Wo Yahudiyo Ke 🤏🏻 Chote Chote Pille Ahle'hagees Wahabi Ye Kehte Hue Nazar Aayege Ki Musalmano Ke Nabi ﷺ Ne Allah Ko Nahi Dekha* 🤦🏼‍♂️

_Sare La'maka Se Talab Hui Soye Muntaha Wo Chale Nabi ﷺ_

*Reference Book*
Sahih Bukhari
Book of Tauhid
Vol *9* Page *370*
*Scan Page*
📗📄👇🏼


*Didaar e Khuda*
Part *6*

_Hazrat Imam Abu Sulaiman Tabarani *Birth* (जन्म) *260* Hijri & Wisaal Al Mutawaffah 360 Hijri Likhte Hain_

_Sayyidina Abdullah ibn Abbas رضي الله عنه Farmate Hai_ *“Hakikat Hai Rasool Allah ﷺ Ne ALLAH TA'ALA Ko Do Baar Dekha, Ek Baar Apni Matho Ki Aankho Se (Physical Eyes) Aur Ek Baar Kalb (Heart) Ki Aankho Se”*

*Reference Book*
Maujam ul Aawsath
Vol *5* Hadees *5761*
*Scan Page*
📗📄👇🏼













*_Meraj Ki Raat Khuda Ka Huzoor ﷺ Ke Karib Aana Aur Didaar Karana_*

_Hazrat Imam Abu Isa Tirmizi Al Mutawaffah *279* Hijri Likhte Hain_

_Hazrat Abdullāh Bin Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se Rivayat Hai “Pura Meraj Ka Waqia Bayan Kiya”.... Phir Kehte Hai_
*"Huzoor ﷺ  Sidratul Muntaha Par Tashreef Laaye Aur Izzat Waala Jabbar Allah ﷻ Yaha Tak Ke Karib Huwa Aur Nazdik Aaya Ki Do Kamano Ya Is Se Bhi Kam Ka Faasla Reh Gaya” Khuda Aur Rasool ﷺ Me*
_Aur Aagay Farmate Hain_ *Hum Bani Hashim Kehte Hai Beshaq Nabi e Kareem ﷺ Ne ALLAH ﷻ Ka Deedar Kiya”*

*Reference Book*
Jame al Tirmizi
Book Tafseer e Quran
Vol *5* Hadees *3280*
*Scan Page*
📗📄👇🏻

*Didaar e Khuda*
Part *7*

_Hazrat Imam Ibn e Asim Al Mutawaffah *287* Hijri Likhte Hain_

*Rasool Allah ﷺ Ne Allah Ta'ala Ka Didar Kiya. Aur Ruyat e Baari' Ta'ala Nabi Kareem ﷺ Ke Liye Thi* _Aur Dosti Hazrat Ibrahim عليه السلام Ke Liye Aur Hazrat Musa عليه السلام Ke Liye Kalam Tha_

_Tabhi Toh Mere Alahazrat Pukar Uthe_
*Aur Koi Gaib Kya Tum Se Niha Ho Bhala Jab Na Khuda Hi Chupa Tum Pe Karodon Durood*

*Reference Book*
Kitab as Sunnah
Page *192* Hadees *440-&-441-&-442*
*Scan Page*
📗📄👇🏼

*Didaar e Khuda*
Part *8*

_Hazrat Imam Abdullah Bin Ahmad Bin Hambal Shaybani Al Mutawaffah *290* Hijri Likhte Hain_

_Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه Se Riwayat Hai Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya_ *Mene Apne Allah ﷻ Ko Dekha Uska Didaar Kiya*

*Reference Book*
As Sunnah
Page *484* Hadees *1116-&-1117*
*Scan Page*
📗📄👇🏼

*Didaar e Khuda*
Part *9*

_Hazrat Imam Ibn e Khuzaymah Al Mutawaffah *311* Hijri Likhte Hain_

_Hazrat ibne Abbas رضي الله عنه Farmate Hai Mene Nabi Kareem ﷺ Se Arz Ki Ya Muhammad ﷺ Kya Aapne Allah Ko Dekha Toh Huzoor ﷺ Ne Farmaya_ *Mene Apne Rab Ta'ala Ko Achchi Surat Me Dekha* 

_Acchi Surat Matlab Ki Apni Shan Ke Laik_

*Reference Book*
Kitab ul Tauhid
Safa *578*
*Scan Page*
📗📄👇🏼

*Didaar e Khuda*
Part *10*

_Hazrat Imam Abi Daraqutni Al Baghdadi Al Mutawaffah *385* Hijri Likhte_

_Nabi Kareem ﷺ Ne Farmaya_ *Mera Allah Acchi Surat Me Jalwa Farma Hua (Apni Shan Ke Laik) Aur Apna Daste Qudrat Mere Dono Kandho (Shoulders) Ke Darmiyan Rakha Mene Uski Thandak Apne Sine Paak Me Mehsos Ki Aur Me Jaan Gaya Jo Kuch Bhi Zameen o Asman Ke Darmiyan Hai*

*Reference Book*
Kitab al Ruwayyah
Page *331* Hadees *245*
*Scan Page*
📗📄👇🏼








No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna* ¹ Hazrat Imam *Na'eem Bin Hammad* Bin Muawiya Al Mutawaffah *228* Hijri & ² Hazrat Ima...