Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Saturday, January 18, 2020

Huzoor ﷺ Ka ikhtiyar Huzoor ﷺ Ki Zuban Se*

*Huzoor ﷺ Ka ikhtiyar Huzoor ﷺ Ki Zuban Se*

_Hazrat Abu Saeed Al Khudri رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki Huzoor ﷺ Ne Khutba Irshad Farmaya_
*Beshak Allah ﷻ Ne Ek Bande Ko Duniya Aur Jo Allah Ta'ala Ke Paas Hai Ke Darmiyan Ikhtiyaar Diya Hai.*
_Pas Us Bande Ne Us Chiz Ko Ikhtiyaar Kiya Jo Allah Ta'ala Ke Paas Hai._

_Hazrat Abu Saeed Khudri رضي الله عنه Farmate Hain_ *Ki Is Par Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه Ro Pade. Hum Ne Un Ke Rone Par Ta’ajjub Kiya Ki Huzoor ﷺ To Ek Bande Ka Haal Bayaan Farma Rahe Hain Ki Us Ko IKhtiyaar Diya Gaya Hai.* _Pas Woh (Bandah) Jis Ko Ikhtiyaar Diya Gaya Hai Khud Tajdar-E-Qa’inat ﷺ Hain Aur Abu Bakr Siddique رضي الله عنه Hum Sab Se Ziyadah ilm *(Knowledge)* Rakhne Waale Hai (Jo Huzoor ﷺ Ki Baat Muraad Samajh Gaye_.”
*Subhan'Allah*

*Yani Huzoor ﷺ Khud Farma Rahe Hain Ke Mujhe ikhtiyar (Power) Hai Jo Allah Ta'ala Ke Paas Hai Aur Jo Kuch Bhi Duniya Me Hai Har Chiz Ka Ikhtiyaar Allah ﷻ Me Mujhko Ata Kiya Hai.*

_Nabi ﷺ Mukhtar e Kul Hain. Jisko Jo Chahe Ata Karde_

*Reference Book*
Bukhari Shareef
Vol *5* Hadees *3654*
*Scan Page*
📗📄👇🏼

No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna* ¹ Hazrat Imam *Na'eem Bin Hammad* Bin Muawiya Al Mutawaffah *228* Hijri & ² Hazrat Ima...