Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Friday, November 1, 2019

*WAHABIYO KA SIPA SALAAR, ABDUL WAHAB NAJDI, EID MILADUN NABI KI FAZILAT BAYAN KARTA HAI*

Abu lahab ki ek Ghulam thi, Jiska Naam Suaiba tha, Jab Nabi sallallaho alaihe wasallam ki Paidaish hui, tab Suaiba ne jaakar Abu Lahab ko ye Khush Khabri sunai ki Apke ghar apka bhateeja paida hua hai,

Ye Khabar sunkar Abu Lahab Khushi se jhum utha, aur Khushi me hi apni is Ghulam Suaiba ko apni Ungli se ishara karke kaha

'Jaa, aaj se tu azad hai'.

Jab Abu Lahab mar gaya, tab kisi ne use Khwab me dekha to pucha, kya haal hai tumhara??

Abu Lahab ne kaha, mai bahot hi zyada azab me Giraftar hu,

Haan lekin har Peer(monday) ke din mujhe apni Is Ungli se kuch peene ko mil jata hai, jisse ki Mohammad sallallaho alaihe wasallam ki Paidaish ki khushi me maine isi Ungli se ishara karke apni Gulam Suaiba ko azad kiya tha. Isliye is Ungli se mujhe har Peer ke din kuch peene ko milta hai, Jab mai use peeta hu to mere azab me kami ho jati hai, aur mujhe rahat milti hai.''

Ibn Jawzi farmate hain, Abu Lahab ek aisa Kafir tha ki uske bare me Quran me bhi zikr hai, to jab aise Kafir ko Nabi ki paidaish per Khush hone se uske Azab me kami ho gayi, to Alhamdulillah, hum to Musalman hain, agar hum bhi Nabi alaihe salam ki paidaish par khushi manayenge to kis qadar sawab milega.

[Mukhtassar Sirat-ur-rasool, “Milaad-un-nabi”,by Ibn Muhammad bin Abdul wahab Najdi pg. 32].

No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna* ¹ Hazrat Imam *Na'eem Bin Hammad* Bin Muawiya Al Mutawaffah *228* Hijri & ² Hazrat Ima...