Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Monday, October 28, 2019

Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Jannat Me Bazaar*

*Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Jannat Me Bazaar*

_Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala Anhu Sey Riwayat Hey Ke Huzoor ﷺ Ney Farmaya :_
*Jannat Mey Ek Aisa Baazaar Hai Jis Mey Log Har Jum’a Key Roz Aayege. Aur Shimaali Jaanib Sey Hawa Chalegi Aur Un Key Kaparon Aur Chehron Par Lagegi Jis Sey Husno Jamaal Barh Jaayega. Jab Woh Apney Ghar Waalon Key Paas Waapas Jaayegey To Un Ka Husno Jamaal Barha Huwa Dekh Kar Woh Kahey Gey :*
Allah Ki Qasam!
*Hum Sey Door Jaa Kar Tumhara Husno Jamaal Barh Gaya Hey Aur Yeh Un Sey Kahey Gey Ke Allah Ta’ala Ki Qasam Hamarey Baad Tumhaara Bhi Husno Jamaal Barh Gaya Hey.”*

*Allahu'akbar'kabira*
_Jannat Me Bazaar Hai Aur Kis Din Jannati Bazaar Me Aayege Aur Kis Janib Se Hawa Chalegi Aur Hawa Se Kya Hoga Aur Jannati Kya Baate Karege_ *Ye Sab Abhi Hua Nahi Hoga Lekin Apne Aaqa Kareem ﷺ Ke ilm e Gaib Par Qurban Jaon 1500 Saal Pehle Hi Sab Bata Diya*

*Reference Book*
Sahih Muslim
Vol *7* Hadith *2833*
*Scan Page*
📗📄👇🏼

No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna* ¹ Hazrat Imam *Na'eem Bin Hammad* Bin Muawiya Al Mutawaffah *228* Hijri & ² Hazrat Ima...