Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Wednesday, November 6, 2019

Huzoor ﷺ Ki Milad Ki Khushi Karne Par Ek Kafir Ke Azab Me Kami*

*Huzoor ﷺ Ki Milad Ki Khushi Karne Par Ek Kafir Ke Azab Me Kami*

_Hazrat Urwa Radi'Allahu'Anhu Bayan Karte Hain_ *Abu Lahab Ki Ek Gulam Laundi Sobiya Ne Jab Abu Lahab Se Kaha Ki Tujhe Bhatija Hua Hai Is Khushi Me Abu Lahab Ne Apni Us Laundi Ko Ungli Ke Ishare Se Aazad Kiya Tha* _“Pas Jab Abu-Lahab Mar Gaya To Uske Baad Uske Rishtay'daro Ne Use Khuwab Mein Buri Haalat Mein Dekha To Usse Puchha “Tera Kiya Haal Hai To Abu-Lahab Ne Kaha Maine Tumhare Baad Koi Bhalaa’ee Nahi Payi Lekin Mujhe Us Ungli Se Paani Diya Jata Hai Jis Ungli Ke ishare Se Maine_ *Hazrat Muhammad ﷺ Ki Milad (Wiladat) Ki Khushi Mein Apni Gulam Laundi Sobiya Ko Aazad Kiya Tha*

_Is Hadees Ki Sharah Me Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhadis e Dehelvi Rehmatullahay'alaih Likhte Hain_
*Abu Lahab Ke Marne Ke Baad Kisi Nay Use Khuwab Main Dekha, Pucha Ki ‘Kaho Kya Haal Hai To Woh Bola Aag Main Hoon Bas Itna Karam Hai Ke Har Peer Ki Raat Mujh Par Takhfeef Azaab Me Kami Kardi Jaati Hai Aur isharay Se Bataya Ki Apni Do Ungliyo Say Pani Choos Leta Hon Aur Yeh inayat Mujhpar is Wajah Se Hai Ki Mujhe Sobia Ne Bhatijay Ki Peda'ish Ki Khabar Di Thi To Is Khabar Ki Khushi Main, Mene Usay Do Ungliyo Ke isharay Se Azad Kardiya Tha Aur Phir Usnay Usay Doodh Pilaya Tha.*

_Hazrat Imam Jazri Al Mutawaffah 734 Hijri Rehmatullahay'alaih Iske Aage Likhte Hain_
*Jab Abu Lahab Jaise Kafir Jiske Radd Me Quran Me Ek Surat Nazil Hui Us Kafir Ne Rasool Allah ﷺ Wiladat Ki Khushi Sunkar Apni Gulam Londi Ko Azad Kar Diya To Jahennam Me Bhi Uska Iska Ajr Milta Hai Aur Uskw Azaab Me Bhi Kami Hoti Hai* _Gaur Karne Ki Baat Hai Ki Abu Lahab Ne Nabi Rasool Ki Wiladat Ki Khabar Sunkar Nahi Apni Laundi Ko Azad Kiya Balke Bhatije Ki Peda'ish Ki Khabar Sunkar Usko Azad Kiya_

*Toh Jo Musalman Huzoor ﷺ Ko Allah Akhiri Nabi Rasool Mankar Unpar Dilo Ja Se Imaan Rakh'kar Unki Wiladat Milad Ki Khushiyan Manate Hai To Unko Kitna Ajr o Sawab Milega Duniya o Akhirat Me*

*References Books*
Sahih Al Bukhari
Vol *7* Hadees *5101*
*&*
Sharah al Zurqani
Safa *261*
*&*
Madarijun Nabuwat
Safa *35*
*Scan Page*
📗📄👇🏼




No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna* ¹ Hazrat Imam *Na'eem Bin Hammad* Bin Muawiya Al Mutawaffah *228* Hijri & ² Hazrat Ima...