Sunni hanafi Barelwi k aqaid ka saboot quran o hadees ki roshni me our badmajhab wahabi,deobandi,etc k batil aqaid ka radd quran o hadees ki roshni me scan k sathh pesh kiye gae hai


Monday, October 28, 2019

Rasool Allah ﷺ Ne Khud Gairullah Ko Madadghar Mana*

*Rasool Allah ﷺ Ne Khud Gairullah Ko Madadghar Mana*

_Hazrat Ayesha Siddiqa Radi'Allahu'Anhna Se Marwi Hai_ *Ki Huzoor ﷺ Hazrat Hassan RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Liye Masjid Me Mimbar Rakhwaya Karte They Aur Woh Us Par Khade Ho Kar Huzoor ﷺ Ki Shan Me Gustakhi Karne Waalon Ki Hijw (Ya’ni Mazammat Unka Radd Boycott) Kiya Karte They To Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya :* _Beshak Jab Tak Hassan Rasool Allah ﷺ Ki Taraf Se Difa’a Karta Rahega Roohul Quddas (Hazrat Jibra’il Alaihissalam) Bhi Hazrat Hassan Radi'Allahu'Anhu Ke Saath (Unke *Madadgaar)* Honge.”_

*Point Be Noted*
_Agar Gairullah Ko Madad Ghar Manna Shirk Hota To Kya Huzoor ﷺ  Hazrat Jibraeel Alayhisslam Ko Hazrat Hassan Radi'Allahu'Anhu Ka Madadghar Kehte Nahi_ *Aur Jab Jibraeel Alayhisslam Madadghar Ho Sakte Hai To Jibraeel Ke Aaqa Malik o Mukhtar Jinke Sadqay Jibraeel Ko Allah Ne Banaya Wo Rasool ﷺ Ko Hum Kyun Nahi Apna Madadghar Maan Sakte Hai*❓

*Reference Book*
Sunan Abu Dawood
Vol *5* Hadees *5015*
*Scan Page*
📗📄👇🏼

No comments:

Post a Comment

Don't comment any spam link in comment box

Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna

 *Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Yazeed Ka Fitna* ¹ Hazrat Imam *Na'eem Bin Hammad* Bin Muawiya Al Mutawaffah *228* Hijri & ² Hazrat Ima...